jab parishaan huwi moula ki jamaa'at ran me
har namaazi ko pasand aayi iqaamat ran me
qibla-e dee'n ne kiya qasde ibaadat ran me
shakl-e mehraab bani tegh-e shahadat ran me
ghul huwa isko imaam-e dojahaa'n kehte hain
teghou'n ke saaye me shabbir azaa'n kehte hain
qudrat-e haq se dareeche huwe firdous ke waa
daf'atan khul gaye dar haaye falak sartaapaa
ek ba ek uth gaye sab parda-e arsh-e aala
ambiyaa-o malak-o hoor ko pahonchi ye nidaa
qadardaa'n iska mai hoo'n mera shanasa hai ye kyu na ho mere mohammed ka nawaasa hai ye
ye wo taa-at hai ke tanha hi adaa karte hai
mere aashiq tah-e shamshir raha karte hai
sar qalam hota hai wo shukr-e quda karte hai
saadeq- ul waada yu'hi waada wafa karte hai
ham namaaz iske janaaze ki jo padhwaayenge
tum bhi jana ke rasoolaan-e salaf jaayenge
saakin-e arsh-e bari'n karne lage naala-o aah
shaah takbeer yahaan keh chuke allah allah aur iqaamat me huwe sarf shah-e aali jaah
jaane waahid pa gire aan ke laakho bad qaah
soora e hamd nabi zaada padha chaahta tha
shimr qanjar liye seene pa chadha jata tha
neem bismil ne zabaa'n se jo kaha bismillah
naizaa maara abu ayyub ne lab par naagaah
dar se saidaaniyaa'n chillayi ke innalillah
haaye ye zulm namaazi pa ayaazan billah
waajibul qatl ko hai aab-o- ghiza ki mohlat
jaan-e zehra ko na di farz-e quda ki mohlat
zeenat-e- arsh-e baree'n qaak pa uftaadah hai
na bichona hai na masnad hai na sajjaadah hai
shimr qanjar liye baalee'n pa istaadah hai
koi itna nahi kehta ke nabi zaada hai
qasd sajde ka idhar qibla-e dee'n karta hai
niyyat-e zibha udhar shimr-e laee'n karta hai
qanjar-e zulm ko chamka ke pukaara dushman
bosagaah-e nabawi kaatu'n mai ab ya gardan
bole sheh jis me tu raazi ho nahi jaaye suqan
halq ye halq-e nabi hai ye badan unka badan
dekh sar nange har ek hoor-e jinaa'n aati hai
abhi tu zibha na karna meri maa aati hai
naa-gahaa'n aayi ye awaaz ke amma sadqe
mere maa baap fida mai tere qurbaa'n sadqe
koun koun aaj huwa tujh pa meri jaa'n sadqe
sher kitne huwe kitne huwe naada'n sadqe
qatl gaah ko abhi jannat se jo mai aati thi
hoor ek nanhe se laashe ko liye jaati thi
qafela lutgaya amma mera lashkar na rahaa
jadde amjad ki nashaani ali akbar na raha
rehgaya dard-e- kamar haaye baradar na raha
ab qabar aapne li aan ke jab ghar na rahaa
ek main hu so mujhe qatl ki mushtaaqi hai
bosagaah-e nabawi katne ko ab baaqi hai
guftagu maadar-o farzand me hoti thi ye aah
roti thi fatema mushtaaq-e shahadat the shaah
aastee'n ghusse se qaatil ne chadhaayi naagaah
qahar-e jallad pa ki shaah ne hasrat se nigaah
shimr ne poocha tumhe uzr koi ab to nahi
bole shah dekhle darwaaze pa zainab to nahi
wo pukaara nazar aati nahi dar par zainab
peet'ti phirti hai qaime me khule sar zainab
gar saraacho'n se chali aayegi baahar zainab
rok sakne ki nahi par mera qanjar zainab
halq ko aapke be qouf-o qatar kaatoonga
ek qanjar se bahan bhaai ka sar kaatoonga
aayi zehra ki sadaa shimr tu naabeena hai
dar pa zainab nahi baali'n pa magar zehra hai
are be raham qataa mere pisar ki kya hai
aastee'n ulti hai kyu tegh ko kyu khaincha hai
kya ise paala tha mai ne tere qanjar ke liye
mere bachhe ko na kar zibha payambar ke liye