jab shaah ko safar me bohat din guzar gaye
sughra ko gham huwa ke musaafir kidhar gaye
kehti thi ghar bhara huwa veeraan kar gaye
kya jaane kis taraf mere bekas pidar gaye
hai shouq dil me sibt-e- payambar ki deed ka
kya wajha hai ke qat nahi aaya raseed ka
pardesiyo'n ke gham me hai jeene se mujh ko yaas
bistar pe mu lapete padi rahti hu udaas
baba safar se aayenge jab tak na mere paas
tab tak badan se mai na utarungi ye libaas
jeeti rahi to vasl-e- imaam-e- zaman huwa aur mar gayi to bas yahi kurta kafan huwa
aati nahi hai kuch qabar-e- syedul anaam
basti kaha'n basaayi kiya kis jagah maqaam kyu naani jaan aaap to sunti thi wo kalaam
ruqsat ke waqt mujh se jo farmaate the imaam
kehte the khat bhi aayega akbar bhi aayenge
sughra na ro'o ham tumhe jaldi bulaayenge
dekho na khat hi aaya na akbar waha'n se aaye
kuch haadesa pada shah-e- dee'n par safar me haaye
kis se kahu jo sibt-e-nabi ki qabar ko jaaye
allah mere baap ko jaldi watan me laaye
sunti hu dost kam hai shah-e mashraqain ke
dushman bohot hai fatima ke noor-e- ain ke
maango dua ke sibt-e- payambar ki qair ho
abbas-o- qaasim-o- ali akbar ki qair ho
behno ki qair ho meri maadar ki qair ho
garmi ka hai safar ali asghar ki qair ho
amma ko unka doodh badhaana naseeb ho phir ghar me leke qair se aana naseeb ho
ye kehke mu ko dhaanp ke royi wo nouhagar
kurta tamaam hone laga aansuo'n se tar
naani dilaasa dene lagi paas aan kar
qurbaan jaau roti ho kyu dhyaan hai kidhar
veeraa'n karenge shaher ko jangal basaayenge
ab kya quda na qaasta hazrat na aayenge
charcha huwa ye shehr-e- madina me jaa bajaa
sughra se aake maadar-e- abbas ne kahaa
zaanu pe sar jhukaaye huwe ro rahi ho kyaa
shabbir aaye shukr ka sajda karo adaa
naake pe fouj tehri hai waari hussain ki
aati hai koi dam me sawaari hussain ki
naani ne tab ye usse kaha hoke shaad shaad
sughra tumhe na tha mere kehne ka etemaad
mai kehti thi ke aate hai ab shaah-e- qush nehaad
poori quda ne ki jo mere dil ki thi muraad
dekhungi aaj baap ko maadar ko bhaai ko
lo kapde ab badal lo chalo peshwaayi ko
wo boli mere dil me hai kuch aur hi qayaal
jab tak na ghar me aayega qairun-nisaa ka laal
kapde na badlungi na mai goondungi sar ke baal
aane do unko jin ke liye hai ye mera haal
shikwa karungi aankho se aansu bahaaungi
baba ko ye phataa huwa kurta dikhaaungi
keh kar ye baat ghar se chali duqtar -e- anaam
naani bhi saath hogayi jaldi asaa ko thaam
dekha har ek taraf ko hai qilqat ka isdedhaam
kehne lagi ye maadar-e- abbas-e- nekh naam
mujh ko to hai yaqeen ke ab ghar na aayenge
shabbir pehle qabr-e- payambar pe jaayenge
ye kehke god me liya beemaar ko uthaa aur ruq kiya sue lahad-e- paak-e- mustafa
nazdeek jab gaye to ye ghul ek ba ek huwa
aaya hai aye hussain ke beemaar-e- karbala
maatam karo habeeb-e- quda ke habeeb ka
sar kat gaya badan se hussain-e- ghareeb ka
aye saakinaane shehre madina udhaao qaak
kar daalo aah apne garebaan chaak chaak
shabbir teen roz ka pyaasa huwa halaak
chaaleeswi talak raha be gor jism-e- paak
paaoge phir na fatima ke noor-e- ain ko
ham karbala me dafn kar aaye hussain ko