kahti thi roke zainab-e- nalaa'n jawab do
qaamosh kyu'n ho aye meri amma jawab do
kya hogaya ye hashr ka saamaa'n jawab do
hoti hai beti aap pa qurbaa'n jawab do
ab to bara-e qaleq-e yazdaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
hamsaaiyo'n ki thi ye shikayat ke ammajaa'n
ya din ko roye ya toh kare raat ko fugha'n
rone se aap ke hai qalal kaam me yaha'n
nana ke baad phir gaye jo-jo the meherbaa'n
kaise the kalmago wo musalmaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
nana ka saya sar se utha sabr karliya
pahlu pa dar giraaya gaya sabr karliya
ummat ne jo-jo zulm kiya sabr karliya
is zulm ka gila na kiya sabr karliya
kaisi thi saabera meri amma jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
bhaai hassan hussain hai girya utho utho
kunba hai ab tumhara paresha'n utho utho
kuch bolti nahi meri amma utho utho
kaisi lagi hai neend mai qurbaa'n utho utho
zainab kahegi ab kise amma jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
bhai ka byaah bhi na rachaana hua naseeb
hai hai dulhan ko ghar me na laana hua naseeb
bas haaye tum ko rona rulana hua naseeb
dil me na chain tumko basaana hua naseeb
kya kya tha dil me aap ke armaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
aye gham naseeb maadar-e- muztar utho utho
aaega sabr ab mujhe kyu'n kar utho utho
ab to bara-e- qaaliqe akbar utho utho
sar peet-ti hai aapki duqtar utho utho
mahboob-e kibriya ki dil-o jaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
dene lage jo ghusl to roe bohot ali
thaama jigar ko pahlu pa jisdam nazar padi
faarigh jo ghusl se hue rokar sada ye di
zainab ab aao dekhlo deedar aaqri
beti tumhari aati hai naalaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
bhai hussain rote hai uthkar gale lagao
gham me tumhare peet'te hai sar inhe manaao
kunbe se apne aaqri milte hue to jaao phir ek baar beti ko apni sada sunaao
kya so rahe ho tum pa mai qurbaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
aye meri ghamzada-o dilafgaar amma jaan
mahboob-e- kibriya ki azadaar amma jaan
kya hogayi jahaan se bezaar amma jaan
kuch to kaho zabaan se ek baar amma jaan
beti khadi hai muztar-o- hairaa'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
baba hai sarfe giriya-o zaari utho utho
dekho to saare ghar ki tabahi utho utho
tum ko qasam hai haq ki mai wari utho utho
lo aagayi tumhari sawari utho utho
aaye hai dar pe boozaro salma'n jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
jannat ko aye nabi ki dilo jaan jaiye
ab ghar hamara hogaya sunsaan jaiye phir ek baar ho lu'n to qurbaan jaiye
qaaliq hai ab tumhara nigehbaan jaiye
kya daagh hum ko de gayi'n amma jawab do
amma jawab do meri amma jawab do
gham me hai sogwaar 'himayat' bhi aap ka
ye marsiya bhi aap ka purdard hai likha
talib hai roze hashr sahara ho barmala
faryaad is ki aap sune behre kibriya
baare gunah se hai wo hiraasaa’n jawab do
amma jawab ddo meri amma jawab do