Kanz e Aza

Likhthe Hain Raaviyaan-E Jigar Souz Ye Kalaam

A marsiya for Safar e Imam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

Likhthe Hain Raaviyaan-E Jigar Souz Ye Kalaam

Jab Baad-E Asr Kat Gaya Ran Me Sar-E Imaam

Lashkar Se Ibn-E Saad Ye Bola Bawaqt-E Shaam

Manzoor Hai Hamen Ke Yahin Aaj Ho Maqaam

Ek Qaima Istaadah Huzoor-E Nigaah Ho

Shaabaash Isme Aal-E Rasool-E Panaah Ho

Ek Qaima Tab Alaaheda Ran Me Bapaa Huwa

Isme Huwe Muqeem Aseeraan-E Karbala

Taqseem Fouj-E Shaam Me Hone Lagi Ghizaa

Har Qism Ke Ta Aam Mohayya The Jaabajaa

Asaaesh-E Ta- Aam Thi Har Bad Qisaal Ko Aur Faaqa Teesra Tha Mohammed Ki Aal Ko

Bola Ye Ibn-E Saad Ke Lejaao Tum Shataab

Chaalis Qaan Khaane Ke Aur Sard Jaam-E Aab

Tab Aik Aik Ne Ye Umar Ko Diya Jawaab

Kis Mu Se Aage Jaaen Ham Inse Haen Hijaab

Pyaaroun Ko Inke Samne Neze Lagaen Ham Aur Haazri Bhi Unke Liye Leke Jaaen Ham

Inkaar Jab Ke Jaane Me Ek Aik Ne Kiya Phir Tho Umar Ne Zoujae Hurr Ko Talab Kiya

Bola Ye Khaana Leke Too Ahle Haram Me Jaa

Karna Meri Taraf Se Bahot Uzr-O Iltejaa

Shouhar Tera Hai Fidya Shah-E Mashraqain Ka

Dena Too Shaher Bano Ko Pursaa Hussain Ka

Zainab Phir Apne Dil Ko Ye Dene Lagi Qabar

In Khaanoun Me Yaqeen Hai Shahidoun Ke Honge Sar

Naagaah Boli Zoujae Hurr Paas Aan Kar

Loundi Salaam Karti Hai Bibi Karo Nazar

Mai Aashiq-E Hussain Kaneez-E Butool Hoon

Mai Zoujae Harawal-E Sibt-E Rasool Hoon

Aaya Zabaane Zoujae Hurr Par Jo Hurr Ka Naam

Taazeem Ko Khadi Huwi Wo Qhahar Imaam

Boli Too Hurr Ki Zouja Hai Tujh Par Mera Salaam

Haq Baqshe Hurr Ko Waah, Ajab Kar Gaya Wo Kaam

Pahle Qabar Na Toone Ki Zehra Ki Jaai Ko

Sar Nange Dar Pa Aathi Teri Paishwaai Ko

Ye Kahke Usko Apne Barabar Bithaaliya

Chaadar Na Thi Jo Dhaanp Ke Mu Roi Khoob Sa

Aankhoun Pa Haath Rakh Ke Lagi Rone Aur Kaha

Pursa Mai Hurr Ka Dethi Hoon Too Saath De Meraa

Wo Roke Boli Naam Nalo Us Ghulaam Ka

Mai Tumko Dene Aai Hoon Pursaa Imaam Ka

Zainab Ne Roke Zoujae Hurr Se Ye Phir Kaha

Baare Tumhaare Aane Ka Yaan Kya Sabab Huwa Ki Arz Usne Loundi Ki Qismath Huwi Rasaa

Bheje Hain Ibn-E Saad Ne Ye Khaan Par Ghiza

Kahne Uske Khaane Se Hamraah Aai Hoon

Mai Haazri Hussain Ke Marne Ki Laal Hoon