mehshar ki subha aaj numaya'n hai shaam me
kunba shafie hashr ka hai isdehaam me
sar nange roohe fatima hai ehtemaam me
qaasaane zuljalaal hai balwaae aam me
jibreel ki quzadiyaa'n tashreef laayi hai
mushkil kusha ki betiya bandi me aayi hai
hai beech me khule hue aale aba ke sar
naizo pe inke gird hai fouje quda ke sar
bacho ke sar buzurgo ke sar aqroba ke sar
rote hai waariso ke saro ko dikhaake sar
sar rakh ke zaanuo pe jo waaris ko rote hai
zalim saro pa naizo ki noke'n chubote hai
naagah hua yazeed ka darwaza aashkaar
haazir naqeeb o haajib o darbaan o chobdaar
teghe alam kie hue jallaad naabekaar
mujraayi be hisaab tamashaayi beshumaar
aiwaan me bhi raqs ka saamaa'n tamaam tha par intezaare itrate qairul anaam tha
bole sab ek baar wo aaye gunaahgaar
aaye qusoorwaar wo aaye gunaahgaar
jallaad hoshiyaar wo aaye gunaahgaar
wo aaye be dayaar wo aaye gunaahgaar
jab se ke aasmaan quda ne banaaye hai
aale rasool aaj hi bandi me aaye hai
roka umar ne badhke alam ko sipaah ko
mujra pur ajma ke kya baargaah ko aur has ke dekha aale risaalath panaah ko
aawaaz di nabeera-e shere ilaah ko
haan haan mahaar rokna oonto ka thaamna
ab hai yazeed ke dare doulat ka saamna
pohnche muraad ko safar apna tamaam hai
utro aseero utro adab ka muqaam hai
aage to aastaana-e sultaane shaam hai
dekho to kya jalaal hai kya ehteshaam hai
iski vila me arsh ko ham ne hila diya
ghar panjetan ka qaak me bilkil mila diya
sunna ye tha ke sab ke jigar par churi chali
oonto se utri bibiya'n keh keh ke ya ali
aankhe phira ke reh gayi banu ki laadli
roohe hussain ho gayi jannat me bekali
taaqat badan ki ghat gayi aur zof badh gaya
utre jo besahaare to dam sab ka chadh gaya
seene me dam abhi na samaaye the hai ghazab
jo aaye reesmaa'n lie haato me be adab
ghabraake pucha bibiyo ne tajweez kya hai ab
bola umar ke majlise hakim me hai talab
manzoor hai ke roohe ali phir malool ho
majme me robkaari-e aale rasool ho
mazloomiyat se roke ye mazloomo ne kaha
haakim ki ye qushi hai to phir gharz ham ko kya
baazaar me to phir chuke be maqnao rida
aasaa'n karega mushkile darbaar bhi quda
haazir hai le chalo hame gumraaho le chalo
sar par nahi hussain jahan chaahe le chalo
kuch ab bhi odhne ke lie doge na nahi
haakim ka saamna hai sar'n par rida nahi
laaye ho apne shehr me ye bhi haya nahi
kaise arab ho tumko hamiyyat zara nahi
syedaniyo ki kuch ko madaaraat chaahiye
chaadar bajaaye hadya-e soughaat chaahiye
wo bole ab qubool koi ilteja nahi
sab se haya hai par hame tumse haya nahi
haakim ke dushmano par tar ham rawa nahi
mujrim ko ehtiyaaj libaaso rida nahi
aalooda waariso ke lahu se jabee'n to hai
chehro pe aur qaak lagaalo zamee'n to hai
par itna tehro waariso ke sar se puch le'n
shaahe umam ke farqe munawwar se puch le'n
darbaar jaane ko ali akbar se puch le'n
abbas ibne hydere safdar se puch le'n
murda na samjho zinda ye hyder ke pyaare hai
muqtaar ham nahi hai ye maalik hamaare hai
naizo pa nasb the jo shaheedo ke sar tamaam
zainab ne badh ke bhai ke sar ko kiya salaam
chillayi kyu zabeehe quda shaahe tashna kaam
marzi hai kya huzoor ki kehte hai kya imaam
darbar mit gaya tera qoo'n ran me beh gaya
mere lie yazeed ka darbar reh gaya
naame yazeed sunke jo bacche dahalte hai
sajjad sar jhukaaye hue haat malte hai
bolo hussain bolo ke ab dam nikalte hai
aayi nida ke tum bhi chalo ham bhi chalte hai
is dam jo sar khule hue darbaar jaaogi
ummat ko baqsh waane ko mehshar me aaogi