jab lut ke karbala se aseere sitam chale
sajjad sar barahna ba dardo alam chale
rote saro ko peet'te paabande gham chale
zainab ne laashe sheh se kaha bhai ham chale
marne se aap ke mai ye eeza uthaati hu
darbar me yazeed ke sar nange jaati hu
hai hai mere musaafire karbobala hussain
hai hai mere ghareeb mere mailaqa hussain
hai hai tujhe na paani ka qatra mila hussain
hai hai tamaam tan tera tukde hua hussain
pyaase gale pa qanjare bedaad chal gaya
hai hai tadap tadap ke tera dam nikal gaya
le nainawa ali ki bazaa'at tujhe mili
aye karbala quda ki amaanat tujhe mili
aye qaak meri maa ki riyazat tujhe mili
le aye zameen shamme imaamat tujhe mili
daaman tera bhara meri kheti ujad gayi
sarhad me tere bhai se zainab bichad gayi
ye kehke sar ko peet ke royi wo dil jali
aakar najaf se haal mera dekho ya ali
gardan rasan me aapki beti ki hai bandhi
kehti ye maariya se wo baachashm-e-tar chali
hai hai mai karbala-e mo'alla me lut gayi
pardes me mai aake baraadar se chut gayi
kya lutf zindagi ka jo naqsha bigad gaya kyu kar na tadpu aah bada beej pad gaya
is qaafele ka qaafele waala bichad gaya
hai hai hamara kaisa bhara ghar ujad gaya
pardesiyo ne chaauni jangal me chhaai hai
bhai ne mere ek nayi basti basaai hai
mehmaa'n bulaake ham se dagha ki layeeno ne
kya kya ham pe joro jafa ki layeeno ne
kuch bhi zara na sharmo haya ki layeeno ne
gardan qifa se sheh ki juda ki layeeno ne
qaima jala ke ahle sitam shaad ho gaye
ham karbala me aan ke barbaad ho gaye
bhai pa mere saamne naize chala kiye
tegho tabar badan pa baraabar laga kiye
shabbir shukr shukr hi mu se kaha kiye
utra na shimr seene se besar juda kiye
roti rahi mai wo sare shabbir le gaya
bhai ki mere qoo'n bhari tasweer le gaya
faryaad ham ghareebo ki sunta nahi koyi
kis se kahe'n jo ham pa museebat guzar gayi
chaadar bhi mu chupaane ko sar par nahi rahi
sar khole shehre shaam me aayi mai dil jali
aada hame dikhaake sare sheh rulaate hai
ab saamne shaqi ke mujhe leke jaate hai