qaid qaane me talaatum hai ke hind aati hai
duqtar-e- faatema ghirat se muee jaati hai
rooh qaalib me woh zindaan me ghabraati hai
be hawaasi se har ek baar woh chillaati hai
aasmaa'n door zamin saqt khidhar jaau'n mai
bibiyo milke duaa maango ke mar jaau'n mai
kya karu kya na karu jald bataao logo
sadqa akbar ka hiqaarat se bachaao logo
ooth karke ho khade mujh ko chupaao logo
ya kisi goshe me le jaake bithaao logo
sar khuli hu kisi hujre me mujhe bandh karo
hind aati hai mujhe qaak ka paiwand karo
kis tarha hind ke aane se na ghabraau'n mai
bint-e- hyder hoo'n na kyu qaid me sharmaau'n mai
koi deewaar jo shaq ho to samaa jaau'n mai
seedhe maajaaye ke maqtal ko chali jaau'n mai
karbala me na yeh zillat hai na ruswaai hai
be ridaa mai hu to be gor mera bhai hai
naagahaa fizza ne di ahle- haram ko ye qabar
hind aati hai bade jaaho- tahammul se idhar
beeraqe'n naqra-o- zar ki hai juloo ke andar
sab kaneeze'n to ridaa odhi hai wo nange sar par sawaari bahut aahista rawaa'n hoti hai
har qadam hind tehar jaati hai aur roti hai
kehti hai qaidiyo'n ke shor-e bukaa ne maara
mujh ko is haaye hussaina ki sadaa ne maara
inke sardaar ko kis ehl-e- jafaa ne maara
kya wo syed tha jise ehl-e- dagha ne maara
ek bijli si kaleje pe mere girti hai
nange sar fatima aankho'n ke tale phirti hai
hogaya zibha koi qaasa-e- baari logo
ins-o- jin hoor-o- malak karte hai zaari logo
lechalo soo-e- najaf meri sawaari logo
hogi mushkil wahi'n aasaan hamaari logo
qair se hai mere aaqa to wo sote honge
warna marqad me ali bete ko rote honge
dar-e- zindaan pa huwa itne me amboh kamaal
bole darbaan badhe doulat-o- umr-o- iqbaal
qaidiyo uttho adab se karo sab isteqbaal
zan-e- haakim ka hai zindaa'n me nuzool-o- ajlaal
qasr-e- shaahi se jo tashreef yahaa'n laati hai
parwarish karne ko tum sab ki huzoor aati hai
sab ne mu karke soo-e- hind ye ki nouha gari
dekhiye shaam ke zindaa'n me chiraaghe sahari
yaade qaaliq me jo hai qalq se hai be qabari kyu musalsil kiya ye to hai adam ka safari
kis ne dam band kiya touq-e- jafaa se iska
silsila milta hai kuch sher-e quda se iska
gird aabid ke phiri hind ba haal-e-tagheer
rakh diya paau'n pa sar apna hataa kar zanjeer
bole wo kaun hai boli ke kaneez-e- shabbir
assalaam aye rasan-o- touq-o- salaasal ke aseer
hai wasiyyat ka mahal marne pa tayyar hai tu
kuch kafan ke liye rakhta hai ke naadaar hai tu
gham na kar gor-o- kafan mai tujhe doongi lillah
nange sar tere janaaze ke chaloongi hamraah
marne waale teraa kya naam hai kab se hai tabaah
bole moula abhi chaalees baras jeena hai aah
naam bekas bhi hai qaidi bhi hai naadaar bhi hai
haal yeh hai ke aseeri bhi hai aazaar bhi hai
hind ne poocha maraz kya hai kaha bepidari
roke wo boli dawaa kya hai kaha nouhagari
ghar ko daryaaft kiya kahne laga darbadari
boli leta hai qabar koun kaha be qabari
aah karne ka sabab poocha to sharmaane lage
taaziyaanou ke nashaa'n pusht pa dikhlaane lage