ran me abru kamaa'n ki aamad hai
asghar-e- bezabaa'n ki aamad hai
bhuke ki natawaa'n ki aamad hai
pyaase ki neemjaa'n ki aamad hai
yahi qaime me shor hota hai
wadaa unka bhi pura hota hai
pyaas ne kardiya hai ye aalam
ghash pa ghash aate hai unhe paiham
hilte hai haath paau bhi kam kam
seene me ab nahi samaata dam
gham se matam zado'n ko sakta hai
nanha syed pada sisakta hai
ro nahi sakte mu banaate hai
aankhe ulti huwi phiraate hai
qushk kaamoo zabaan dikhate hai
ghul se rone ke sehme jaate hai
mu khula hai dhadakti chaati hai
saans bhi ab atakti aati hai
seena garmi ke maare jalta hai
nanha sa dil pada uchalta hai
dam ba dam rang ko badalta hai
bas nahi kuch kisi ka chalta hai
naam paani ka sab jo lete hai
mu ko ghabra ke khol dete hai
roke kehti hai bano-e dilgeer
mai kidhar jaau kya karoo'n tadbeer
haaye bacche mere teri taqdeer
naa to paani mila tujhe naa sheer
haal jab dekhti hai bad, zainab
kehti hai ya ali madad, zainab
haaye kya waqt hai pada ham par
karne paaye na maatam-e akbar
huwi darpesh rehlate asghar
ab mai nikloongi odh kar chaadar
lashkar-e- sham paas jaaungi
haal besheer ka sunaaungi
kahungi jaake mai hoo'n saidaani
dekho marta hai ye mera jaani
tishnagi ki hai ispa tughyaani
waah kya qoob ki hai mehmani
karo seraab laal ko mere
paani do nounehaal ko mere
qaime me aaye sarwar-e aalam
jhule se bezubaa'n ko laye haram
sheh ne dekha ke hai labo'n par dam
roke irshad ye kiya paiham
mere jaani mere jigar aao
chalo maida'n ki sair kar aao
kehke ye ro-e sarwar-e- zeejaah
liya hatho'n pa apna ghirat-e- maah
kiya pinhaa'n abaa me qaatir e qaah aur kaha lallaaha– illallah
leke pyase ko ashkbaar chale
pusht qam karke be qaraar chale
roke kehne lage imaam-e- ghayur
ghafilo kuch nahi hai tum ko shaoor
tum samajhna nahi quda ko door
mere bacche ka kuch nahi hai qusoor
be gunaah ki na jaan lo yaaro
mere kehne ko maan lo yaaro
zalimo waasta payambar ka
dam nikalta hai mere dilbar ka
tar karo halq mere asghar ka
jaam doonga mai tum ko kausar ka
hurmala bola aab milta hai
tahro tahro jawab milta hai
bole karta hai kya ghazab zalim
maarta kyu'n hai besabab zalim
paani maangenge ham na ab zalim
sunta tha sheh ka kahna kab zalim
teer abroo kamaan ko maara
che mahine ki jaan ko maara