haaye kis bekas-o mazloom ka ye maatam hai
fatema aayi hai rone ko ye kis ka gham hai
nange sar saath hai hoore'n bhi ajab aalam hai
rone walo'n se ye irshaad bhi to paiham hai
rone waalo tumhe rone ka silaa dene ko
fatema aai hai tum sab ko dua dene ko
aye azadaro tumhe qaaliqe akbar ki qasam
koun mazloom hai wo tum ko payambar ki qasam
naam lo uska zubaa'n se tumhe hyder ki qasam
be zabaa'n hasliyo'n wale ali asghar ki qasam
roke kehdo ke koi bekas-o maghmoom nahi
juz hussain ibn-e ali aur koi mazloom nahi
yahi mazloom madine ka hai rahne wala
ek saidaani ne faaqou'n me jise tha paala
nayyar-e burj-e imaamat ka yahi hai haala
ek bekas pa sitam hai ye falak ne daala
subha se asr talak ghar ko lutaaya is ne
margaye sab to gala apna kataya is ne
shabe haf-tum se huwa bandh isi par paani
isi mazloom ke qismat me ye thi hairaani
zibha jab hota tha ran me jo ali ka jaani
peet-ti phirti thi maqtal me koi saidaani
koun saidaani wahi fatema ki jaayi thi
bhai ke pyar me sar nange nikal aaye thi
haan payambar ke madine ka musaafir hai yahi
apne naana ki lahad ka bhi mujaawer hai yahi
jisko paani na mila tha dam-e- aqir hai yahi
jis pa sadqe huwe ayyub wa saabir hai yahi
bekas-o be watan-o tashnadahan kehte hai
isi mazloom ko mohtaaj-e- kafan kehte hai
ya hussain aapki mazloomi-o ghurbat ke nisaar
sar ko katwadiya kis shaan se himmat ke nisaar
tah-e-qanjar bhi kiya sajda ibadat ke nisaar
nange sar dekha na hamsheer ko ghairat ke nisaar
ho fida aap pa mu ashko'n se dhone wale
ya hussain aap pa sadkhe ho ye rone wale
dekha is bekas-o- mazloom ki shane ghurbat
chote bete ki lahad khodi hai uf ye himmat
kaanpte hatou'n se aaqa ne banaayi turbat
kya kahe'n kis se kahe'n qalb ki apni haalat
chand ko apne tahe qaak chupaya hai abhi
hasliyo'n wale ko turbat me sulaya hai abhi
kis qadar bekas-o mazloom tha ye shah-e- ghareeb
naa kafan chote se sayyad ko huwa us ko naseeb
sar ko katwaaye huwe sote hai sab uske habeeb
pyaas se teen shab-o roz se haalat hai ajeeb
ya ali kehke sambhala hai dil-e- muztar ko
khoo'n bhare kurte me dafnaya ali asghar ko
roke dete hai sada-e mah-e anwar bolo
aye mere chote shaheed aye mere dilbar bolo
baap ko chod ke tanha gaye kyu'n kar bolo
dard kaisa hai gale me ali asghar bolo
god me baith ke sab haal sunaana beta
teer ka zaqm bhi daadi ko dikhana beta