ibn-e- ali jo baagh-e- risaalat lutaa chuka
bhai ki aur baap ki doulat lutaa chuka
poonji haram ki apni bizaa- at lutaa chuka
sab kuch baraa-e- baqshish-e- ummat lutaa chuka
baaqi koi shahido'n ke daftar me ab nahi
juz aabid-e- mareez koi ghar me ab nahi
tanha khade the fouj me shaah-e- falak weqaar
jo aayi chaar simth se phir fouj-e- bad sheyar
dekha ke hai niyaam me hyder ki zulfeqaar
jurrat huwi har ek ko badh kar lagaaye waar
yaad-e- quda me shaah ne sab kuch bhulaa diya
jab zaqm khaaya shukr kiya muskuraa diya
tukde huwa jabee'n se kamar tak tan -e- imaam
ghabra gaya faras pa to ye bole shah-e- anaam
aye zuljanaah yaha'n se hataana na ek gaam
ab jung bhi tamaam hai aur ham bhi hai tamaam
ghere huwe hai fouj-e- ajal sadde raah hai
jaayega ab kaha'n ke yahi'n qatlgaah hai
muztar na ho lage to lage nawake sitam
kuch gham nahi jo padhti hai talware'n dam badam
maare na dam jo tan se ho sou baar sar qalam
raahat ke dukh samajhte hai raah-e-quda me ham
paida huwe hai dard-o- musibat ke waaste
ye sab qubool hai hame ummat ke waaste
mujh ko na qatl hone ka gham hai na kuch malaal
ghar ki hai ab na fikr na bachhou ka hai qayaal
jaana qareeb hai soo-e- darbaar-e- zuljalaal
ye fikr hai ke dekhiye hota hai kya ma'aal
mursil bhi thartharaate hai is baargaah me
kya nazr leke jaau janaab-e- ilaah me
ye kehte the ke sar pa lagi tegh aab'daar
naiza sinaa'n ka hogaya seene ke aar paar
girne lage jo zee'n se imaam-e- falak wiqaar
baithaa zamee'n pa tek ke ghutnou'n ko raah waar
ghash me jigar pakad ke ba dard-o- alam gire
sambhlaa gaya na qaak pa shaah-e- umam gire
di badh ke paik ne pisar-e- saad ko qabar
ghode se girpada asadullah ka pisar
bash-shaash hoke shimr se bola wo qairahsar
ja jald jaa nabi ke nawaase ko qatl kar
ghul ho dilaawari ka teri shehr shehr me
qanjar wo khainch le jo bujhaaya ho zeher me
qanjar pakad ke shimr chala aasti'n chadhaaye
bolaa ye ibn-e- saad ke qooli bhi saath jaaye
dono laee'n jo laasha-e- sarwar ke paas aaye
pahlu se fatema ne sadaa di ke haaye haaye
qanjar liye huwe sitam ejaad aaye hai
chounko hussain zibha ko jallad aaye hai
rooh-e- janaab-e- fatema zehra ne di sadaa
sadqe mai is labo'n ke is aawaaz par fidaa
is ka nahi qayaal ke kat-ta hai ab gala
ye sabr marhaba mere mazloom marhaba
tukde hai jism pyaas se honto'n pe jaan hai
aye laal marte waqt bhi ummat ka dhyaan hai
kyu kar kahu'n tataawule shimr-e- sitam sheyaar
pyase gale pa shah ki rakhi tegh aabdaar
ghar se idhar nikal padi zainab jigar figaar
chillaayi mu najaf ki taraf karke ek baar
halq-e- hussain kat-ta hai qanjar ki dhaar se
ya murtuza ali nikal aao mazaar se
ya sher-e- kirdagaar ulatdo jahaan ko
faryaad se hilaado zamee'n aasmaan ko
karte hai zibha ahl-e sitam mehmaan ko
ya mustafa bachaalo mere bhaai jaan ko
shamsheer chalne paaye na pyaase ke halq par
rakh deeje halq apna nawase ke halq par
ye kehke soo-e- maqtale shah-e-umam chali
mu apna peet'ti huwi ba dard -o-gham chali
uth kar kabhi giri to kabhi do qadam chali aur waa'n gulu-e- shaah pa tegh-e- do dam chali
pahonchi to qatema tha shah-e- mashraqain ka
shimr-e- laee'n ke haath me tha sar hussain ka