Jab gire ran me baawafa abbas
sadre zee'n se hue juda abbas
girte girte ye di sada abbas
ho gaya aap par fida abbas
Aao ya shaahe karbala aao
gurz se shaq hai sar mera aao
Aayi jis dam furaat se ye sada
Sun ke bataab ho gaye moula
ali akbar ne baap se ye kaha
chaliye baba pukaarte hai chacha
keh ke akbar ba shoro shain chale
Dil ko thaame hue hussain chale
Peet'te the hussain seena o sar
The sambhaale hue ali akbar
ab jo pohnche furaat par sarwar ki nigaah bhai ke jo laashe par
Paaenti the khade hue shabbir
dil bhar aaya to ro diye shabbir
choor zaqmo'n se tha ali ka pisar
jaa'n balab hai jari uthe kyu kar
tab kaha shaah se ye ro ro kar
dekhiye mai pada hu'n reti par
ho bahel ye meri qata aaqa
aap hai hujjate quda aaqa
Ye wasiyat hai aap se aaqa
qaimagaah me na laash le jaana
hoga sab bibiyo'n ka haal bura
royegi mujh ko saaniye zahra
mera madfan yaha'n mudaam rahe
hashr tak bas yahi ghulaam rahe
waqte aaqir yahi malaal raha
hai sakina ko intezaar mera
tha ye iqraar paani laane ka
mai pada hu yaha'n labe darya
Kehti hogi ab aayenge ammu
Hum ko paani pilaayenge ammu
sar se amaama sheh ne phaink diya
apni tooti kamar ko thaam liya
kehte the kya ghazab hua bhaiyya
tum ne ghurbat me saath chord diya
reth par so rahe ho kya bhai
uth ke bhai ko do sada bhai
phir alamdar se ye sheh ne kaha
zindagi bhar pukaare tum aaqa
aaj ye chaahta hai dil mera
Bhai mujhko pukaaro behre khuda
Sunke irshaade shaahe behrobar
Bhai bhai kaha Ali ka pisar
keh ke bhai laraz gaya jarraar
jism sab sard ho gaya ek baar
di ye aawaz yaa shahe abraar
qalq se jaa raha hai ye ghamqaar
aye qateele jafa khudahafiz
Aye shahe karbala khudahafiz
Bhai ka dam jo saamne nikla
roye sar peet kar shahe waala
mud ke kadyal jawaan se ye kaha
le chalo mashk aur alam beta
ham ko be aas kar gaye abbas
mar gaye aah mar gaye abbas