Jab gul huva charaghe haram qaide shaam me
Yaani sakina margayi yaade imam me
Dekhe sitam yazeed ke darbare aam me
Sheh ke salaam ko gayi darussalam me
Dunya me daad ras na mila daad qwah ko
Jakar nashaa'n tamachou ke dikhlaye shah ko
Ghul padhgaya hussain ki ashiq ne ki qaza
Bano ne nabz dekhi toh paya na dum zara
Chillayi sadqe jaau mujhe de gayi dagha
Apni kahi na meri suni haaye kya kiyaa
Asghar ko kuch payam bhi maine diya nahi
Tum chal basi aur amma ne ruqsat kiya nahi
Baba ki piyari amma ki piyari zaba'n ko khol
Laayi hu sharbath aye meri piyasi dehaa'n ko khol
Maa ro rahi hai deeda e gouhar fisha'n ko khol
Mehma'n bandhe gale se naa jaa reesma'n ko khol
Dadi kude'ngi bibi ki zulfe'n sawar lu
Lo utho yeh phata huwa kurta utarlu'n
Asghar ki bholi baate'n sunao nisaar maa
Akbar ka zikr karke rulao nisaar maa
Saili ka neel maa ko dikhao nisar maa
Baba ko jake dar pe bulao nisar maa
Matam ke ghalghale hai naa rone ke josh hai
Bibi jo ab khamush hai toh sab khamush hai
muh dhanpne ka waqt hai pichla paher huva
Baba ko tere roti hu uth sath de mera
Kurte se muh ko dhanp ke pehlu me baith ja
Amma ki beti amma ko awaz de sunaa
Matam sara yeh ghar tha tere bain karne se
Zindaan soona hogaya bibi ke marne se
Yaa'n kiske paas rehti shahe karbala nahi
Bibi ke naaz uthane ki khatir chacha nahi
Nadaar maa hai pani nahi aur ghiza nahi Par ab kafan ke waste mutlaq rida nahi
Amma ke paas rehne se eeza utha chuki
Bibi tamache kha chuki gardan bandha'n chuki
Sehwan kiya ho bibi pe ghussa kabhi agar
Sadqe pidar ki piyas ka bano ko uffo kar
Rone naa deti thi jo tumhe yaa'n hai nauhargar
Qurbaan jau'n shimre laee'n ka tha mujhko dar
Mai toh yeh kehrahi hu ke taqseer baqshdo
Tum bhi kaho ke amma mujhe sheer baqshdo
Tumne jo shaam se mere zano pe sar dhara
Mai samjhi thi ke kaano kaa kuch dard kam huva
Aayi hai aj sone ko khud meri mailaqa
Is darde laa dawa ki khabar thi na mutlaqa
Aabaad godh ki thi meri khali karne ko
Soyi thi aj pass mere bibi marne ko
Akbar juda na hote the baba se ek dum
Asghar se aur tumse behel ta tha mera ghum
Ab naa umeed hogaye dono taraf se hum
Dukhyare mere dukh ki sada khayenge qasam
Taqdeer kaise phirgayi mujh qasta haal ki
Woh cheh mahine ke gaye tum chaar saal ki
Bano ke bain sunke haram roye beshumaar
Sunkar yeh ghul pukara yazeed e jafa sheyaar
Bhijwaya sheh ka sar bhi aur inko nahi kharaar
Aayi khabar ke baap pa beti huvi nisaar
Aisi kisi ki maut na hogi zamane me
Saidani be kafan hai padhi qaid khane me