allah kya muheeb yateemi ki raat hai
veeraa'n yateem ke lie sab kaaenaat hai
dunya to khair sab ke lie besabaat hai
baba na ho to mout se battar hayaat hai
Dam jis ka is alam se ghute us se puchiye
jis ka shafeeq baap chute us se puchiye
puche koi sakina se is waardaat ko kyu kar guzaare haaye yateemi ki raat ko
dete hai'n ghurkiyaa'n jo adu baat baat ko
roti hai yaad karke shahe kaaenaat ko
soti hai aur na qalb ko taskeen hoti hai
godi me maa ki hichkiya'n le le ke roti hai
aata hai yaad ashk bahaana yateem ka
ro ro ke haaye sab ko rulaana yateem ka
baba ko dar pe dhoondne jaana yateem ka
darbaan ki wo ghurkiya'n khana yateem ka
thokar lagi to sehem ke girna andhere me
baba ko apne dhoondne phirna andhere me
kehti hai mujh ko chord ke baba kahan gaye
dhoondu nikal ke tum ko mai kis jaa'n kahan gaye
kis tarah tum ko paaye sakina kahan gaye
ammu kidhar hai aur mere bhayya kahan gaye
koi qabar sunaade mujhe mere baap ki
kehde sakina roti hai furqat me aap ki
samjha rahi hai maa ke meri jaan sabr kar
maadar hazaar jaan se qurbaan sabr kar
roegi kab talak merei naadaan sabr kar
rona to umr bhar hai ye ek aan sabr kar
roe yateem wo jise aada ka dar na ho
dar hai mujhe ke shimr ko iski qabar na ho
mu mal ke mu pe karne lagi is tarah bayaa'n
beti ko apni chord ke baba gaye kahan
roti thi yaad karke jo tumko ye qastajaa'n
baba nigaah baa'n mujhe dete the ghurkiyaa'n
paala tha mujhko ranj uthaane ke waaste
chorda jaha'n me ghurkiya'n khaane ke waaste
baba khuda ke waaste humraah le chalo
chodho na qaid qaane me ya shaah le chalo
beti ko apne shahe zeejaah le chalo
dushwaar zeest hogayi wallah le chalo
le chalie saath hijr uthaaya na jaaega
bas ab to mujh se ghurkiya'n khaaya na jaaega
ye kehte kehte chup hui jis dam wo mailaqa
maadar ka qalb seene me betaab ho gaya
ghabraake sar jo lene ko utthi basad buka
gardan dhali thi sard the bacchi ke dasto paa
dekha ye haal jab to jigar thar tharaa gaya
aankho ne neeche maa ki andhera sa chaa gaya
zainab ko di sada ke mai qurbaan aaiye
bibi meri sakina ko aakar jagaaiye
bachi qamosh ho gayi shaana hilaaiye
bibi ka sar hussain ke sar se uthaaiye
milti nahi hai nabz bhi allah kya karu
kis ko bulaau kisse kahu aah kya karu
abid ko phir pukaari ke lilaah jald aao
beta behen ko baap ke sar se zara uthao
jis tarah ho sake meri naadan ko jagaao
qurbaan jaau haal to qaahar ka dekh jaao
mutlaq qabar nahi use mai bilbilaati hu
uth' ti nahi hai kab se mai shaan hilaati hu
riqqat ko zabt karke ye sajjad ne kaha
amma siwaae sabr ke rone se faayeda
kehne lagi ye peet ke bano basad buka
bachi teri ghareebi pe maadar teri fida
gham qaid ka utha na saki kooch kar gayi
shimre layee'n ki ghurkiya'n kha kha ke mar gayi
bibi bataao maadare ghamqaar kya kare
ghuslo kafan ki fikr dilafgaar kya kare
bhai tumhaara qaid hai naachaar kya kare kyu kar lahad banaaega beemaar kya kare
baba hai sar pe aur na koi shafeeq hai
hum dam hai bebasi to yateemi rafeeq hai
haalat jo dil ki hai kise dikhlaau kya karu
taboot tera kis se mai banwaau kya karu
abbas ko kahan se mai bulwaau kya karu
kis tarah paani ghusl ko mangwaau kya karu
aisi koi misaal na hogi zamaane me
bibi qaraar paayegi tu qaid qaane me
maadar ko apne paas bulaao sakina jaa'n
baba ko yaad karke rulaao sakina jaa'n
qaaliq nigaah baan hai jaao sakina jaa'n
waapas bhi aaogi ye bataao sakina jaa'n
zindan aaj shaam ko sunsaan hoega
veeraana abhi aur bhi veeraan hoega
jaagegi tere gham me ye muztar tamaam raat
mujhko na neend aaegi dam bhar tamaam raat
soegi tu to qabr ke andar tamaam raat
roegi tere waaste maadar tamaam raat
afsos aise waqt me mu mujh se mod ke
baba ka saath tumne diya maa ko chord ke
maa sadqe beqaraar na hona mazaar me
takiya hai aur na narm bichona mazaar me
maadar ko leke saath hi sona mazaar me
baba ko yaad karke na rona mazaar me
qurbaan jaau ab to tumhe chain aaega
marqad me shimr ghurkiyaa'n dene na aaega