aye momino hussain se maqtal qareeb hai
aaqir hai umr manzil-e- awwal qareeb hai
shahr-e- madina door hai jangal qareeb hai
zehra ka chand chupta hai baadal qareeb hai
lene ke waaste malakul mout aate hain
marqad ko apne paau se shabbir jaate hain
al qissa sub'ha manzil-e- aaqir ayaa'n huwi lekin ye sub'ha sibte nabi ko kaha'n huwi
jis jaa sawari ruk ke na aage rawaa'n huwi
hairaa'n sipaah qusra o koun-o- makaa''n huwi
che ghode badle dosh-e- nabi ke sawaar ne lekin qadam badhaya na ek raahwaar ne
jumbish na markabou'n me na paayi hussain ne
ek mushk qaak jhuk ke uthaayi hussain ne
qud sunghi aur bahan ko sunghaayi hussain ne
hamsheer ki suni ye duhaayi hussain ne
hai hai ye qaak phainko meri jaan jaati hai
bhaiyya tumhare qoon ki bu is me aati hai
bashindou ko waha'n ke, ye moula ne di nidaa
naam is zamee'n ke jitne ho lo tum juda juda
wo bole aap ko ho mubarak har ek balaa
ye nainawa hai, maariya hai, aur karbala
maabood ye qaleel ka gunbad maseeh ka
sheh bole ab ye hoyega madfan zabeeh ka
abbas ko pukare na aage alam badhaao
manzil yahi hai chaauni pardesiyou ki chaao
hamshakl-e- mustafa ko nida di badhe na jaao
beta qanaate'n ghero saraache yahi'n lagao
ghurreh ko to huwa hai hamara safar tamaam
daswi'n ko hoga fatima zehra ka ghar tamaam
al qissa qaime hogaye istaada ja baja aur qaimou me utarne lage aale mustafa
dyodi se par kajaawa e zainab nahi mila
khud ehtemaam karne lage shah-e karbala
roki qanaat akbar-o qasim ne aan kar
abbas gird phirne lage naiza taan kar
masnad pa yaa'n bithaa ke behen ko shah -e- huda
kursi bichaa ke baithe qaribe haram sara
the dast basta gird jawanaane baawafa
leleke nazre'n aaye zamee'n daare karbala
istaadah farte gham se jo shabbir hogaye
nazrou pa haath rakh ke baghal geer hogaye
bithlake pahluo'n me unhe ye kiya bayaa'n
aye karbalaiyo main tumhara hoon mehmaa'n
zalim mujhe sataate hai jata hoon main jahan
becho jo ye zameen to chand din rahoon yahaan
rehne se yaa'n hamare sab aaram paayenge
khaake shifa tumhari zameen ko banayenge
deenaar deke saath(60) hazaar unko ye kaha
mai ne tumhe ye baqshi zamee'n tum karo hiba
shabbir ke muaamle par sab ne ro diya
likhne laga qabala zami'ndaare karbala
ghul padgaya hussain watan ko na jayenge
lo mol li zamee'n yahi'n basti basayenge
marqoom horaha tha qabala ke naagahaa'n
qaime se ek zan-e- arabiya huwi ayaa'n
sar ta qadam naqaab se saara badan nehaa'n par uspa bhi haya se larazte the isteqaa'n
betaab hoke ulfate akbar me aayi thi
raavi ne ye likha hai wo zehra ki jaayi thi
lekar balae'n bhai ke kuch kaan me kaha aur jald yu phiri ke na saaya nazar pada
kursi se yaa'n tadap ke gire shah-e- karbala
abbas ne utha ke kaha haaye kya huwa
moula bataa qasam tujhe sheere butool ki
kya keh gayi nawasi janabe rasool ki
shah bole aah mujh se ye zainab ka tha kalaam
bhaiyaa qabale me ali akbar ka hove naam
yani ke uski milk me ho ye zami'n tamaan
abbas jaao kehdo ke majboor hai imaam
atthara saal ke ye zamane se jaayenge
ek qabr ki jagah ali akbar bhi paayenge
abbas aaye qaime me kehne ko ye payaam
zainab ne dekhte hi unhe ye kiya kalaam kyu bhai meri baat pa raazi huwe imaam
likha gaya qabale me akbar ka mere naam
dulha banaaungi mai dulhan biyaah laungi
akbar ke naam ki yaha'n basti basaungi
ab waqt hai dua ka ke hai shiddat -e buka
aamee kahe dabeer mohib-baane murtuza
ya rab hai jitne shiyya sultaane laafata
maqsad bar aaye sabke ma-e baaniye aza
ya rab na koi gham ho inhe juz ghame hussain
in dosto ke haath ho aur maatame hussain