azeezo zainabe muztar ka aaj maatam hai
azeezo zeenate haidar ka aaj maatam hai
ali ki laadli duqtar ka aaj maatam hai
ghareeb shaah ki qwahar ka aaj maatam hai
sukoon qalbe quda ke habeeb ko deeje
behan ka pursa hussaine ghareeb ko deeje
dobara qaid hue jab ke sayyade sajjad
aseer karte hue shaam le chale jallad
rawaana sath hui haaye zainabe nashaad
nabi ke rouza e aqdas pe jaake ki faryaad
shaheed hogaya bhai hussain aye nana magar nahi hai laeenou ko chain aye nana
phir aaj abide be par ke sath jaati hu
yazeede nehas ko qoufe quda dikhati hu
quda ne chaha to is laal ko chudaati hu
hayaat baqi agar hai to wapas aati hu
jo aaye raahe haq me mout aaiye nana
hamari laash pe aansu bahaaiye nana
ye sun ke uth ke gayi fatima ke rouze par
lipat ke qabr se kehne lagi ye qasta jigar
utho utho meri amma ke aayi hai dukhtar
aseer hogaya phir mera abide muztar
tamaam ghar ko ujaada magar na chain aaya
dobara sayyade sajjad par sitam dhaaya
phira chuke the sitamgaar darbadar amma
dikhaya naize pe bhai ka mujhko sar amma
madina bheja tha ghar baar loot kar amma phir aaj hota hai veeraan saara ghar amma
chale hai qaid me phir zainul abidee'n hai hai
rahegi chain se kya zainabe hazee'n hai hai
sada e nouha e zehra lahad se aane lagi
kisi nabi ne bhi aisi jafa nahi dekhi
nisaar maa teri mazloomiyat ke aye beti
tadap rahi hu mai meri dard ki maarii
mai sath chalti hu aye jaan zainabe muztar
ye bilbilaana tera qurbaan zaiinabe muqtar
suna jawab tera haye ashk baar hui
qaraar aata na tha aur beqaraar hui
badan larazta tha naaqe pe jab sawaar hui
hazaar zabt se ruqsat jigar figaar hui
pukaari jati hu ruqsat karo quda hafiz
milogi raah me kis jaa kaho quda hafiz
rawaana hogayi phir sooe shaam wawaila
qamosh rote the chouthe imaam wawaila
laee'n rawaana hue tez gaam wawaila
azeez karte the maatam tamaam wawaila
likha hai raah me ek manzile qareeb aayi
batool zaadi ki hai hai qaza qareeb aayi
nazar quzaadi ki naagah us shajar pe padi ke usne dekha tha farqe hussain ibne ali
tadap ke haaye hussaina kaha zamee'n pe giri
uthi sambhal ke to faryaad us shajar se ye ki
kaha'n hai bhai mera aye shajar bata jaldi
hussain ke liye roti hu qaak udha tu bhi
kaleja aagaya mu ko tadap raha tha jigar
ziyarate shahe karbobala padhi rokar
namaz padhne lagi phir qareeb zere shajar
abhi uthaya na tha haye haye sajde se sar
sitam se belcha ibne tameem ne maara
lahu musalle pe bekas ka beh gaya saara
ali ki tarha se zainab ka sar do neem hua
zamee'n laraz gayi arshe azeem kaamp utha
suni zamane ne faryade sayyadush shohda
pukaarne lagi aakar mazaar se zehra
ghareeb sog nashee'n beqata ko qatl kiya
shaqi ne duqtare mushkil kusha ko qatl kiya
lahu ke ashk bahate hai abide bepar
kafan phupi ko pinhate hai abide bepar
qalaq se jaan gawaate hai abide bepar
lahad phupi ki banaate hai abide bepar
nagee'n hai arsh pe gham fatima ki beti ka
janaza uth'ta hai mushkil kusha ki beti ka