baakhi jo rafiq e shah e deen reh gaye do chaar
hasrat se unhe dekhte thay sayyed e abraar
ki bad ke habeeb ibne mazahir ne ye guftaar
ye peer ghulam ab hai ijaazat ka talabgaar
bande ko bhi marne ki raza dijiye aaqa
firdaus ke raste pe laga dijiye aaqa
shabbir ne seene se lagaya kayi baar
ruqsat jo kiya aankhon se aansu huwe jaari
ghabra ke dar e qaima se zainab ye pukari
logon kaho maidan may chali kis ki sawari
kaun bachayega shah e jinn o bashar ko
sab chode chale jaate hai zehra ke pisar ko
ye sunte hi kohraam hua ahle haram may
pahuncha wo jari sher sa maidan e sitam may
kaamil tha zabas ishq e shehenshah e umam may
betaab tha maula ki judaai ke alam may
seena tha jari ka tabar o teer ki jaanib
phir phir ke nazar karta tha shabbir ki jaanib
peeri may jo dikhlayi jawano ki shuja'at
tharrane lage azwe badan ghut gayi taakhat
dam chad gaya garmi se hui pyaas ki shiddat
dil se kaha ab aalam e faani se hai ruqsat
na lashkar e aada ko na shamsheer ko dekha
kis yaas se mud kar rukhe shabbir ko dekha
phirna tha ke bas padne lagi teeron ki bouchar
dekha jo udhar pusht pe naize ka laga waar
chaaha usay maare ke lagi farq pa talwaar
aur zulm ki barchi bhi kaleje ke hui paar
kehte they tan o jaan shahe dilgeer ke sadqe
har zakhm pa naara tha ke shabbir ke sadqe
chaati bhi chani teeron se aur farq do paara
rag rag jo kati phir na raha zapt ka yaara
sheerazae ajza e badan khul gaya saara
girte huwe ghode se ye aaqa ko pukara
yan aap ka aana meri bakshish ki sanad hai
ay sher e elaahi ke pisar waqt e madad hai
nagaah safein cheer ke aaye shahe zeeshan
dekha ke wo mazloom koi dam ka hai mehman
laashe se lipat kar ye pukaare basad afghaar
ay dost mere teri mohabbat ke mai qurban
dikhla do mujhe zakhm kahan khaaye hai bhai
seene se lipat jao ke hum aate hai bhai