Kanz e Aza

BAQUAR BHI THE SHAREEK-E SHAHINSHAAH-E TASHNALAB

A marsiya. Lyrics in Roman Urdu.

baquar bhi the shareek-e shahinshaah-e tashnalab

sehraa-e karbala me uthaate rahe ta'ab

kam umr the to kya huwa majboor the ye kab

zor-e jawaa'n dikhate jo hoti raza e rab


hamjoli unke kaise lade is ladaai me

bachou ki dhaak bandh gayi tegh aazmaai me


manzoor haq ko rakn-e imaamat ka tha qayaam

daftar me ousiya ke raqam ho chuka tha naam

tha hukm-e zuljalaal ye ho paanchwe imaam

qaayam rahe shariyate paighambar-e anaam


dee'n imtehaane sabr buzurgou'n ki shaan se

hujjat tamaam karke sidhaare jahaan se


hamd-e quda me kat-te rahe imtihaa'n ke din

shaaker huwa qitaab-e shahinshaah-e ins-o jinn

qayam the hilm-e shaah ke sab kork-o min

har ranj me raha dil-e aagaah mutmaain


keena bhara huwa tha jo qalb-e hishaam me

takleef di bulaa ke madine se shaam me


paaband hukme haakim-e jaaber tha be adab

qeemat se koi cheez na dete the hai ghazab

faaqe se teen roz raha sarwar-e arab

jis tarha karbala me uthaaya tha ye ta'ab


guzre the waa'n bhi itne hi din bhook pyaas me

dil tha hujoom-o hasrath-o andoh-o yaas me


baaqer ke waaste marazul mout tha wohi

eeza-e saqt kul ke madadgaar ne sahi

taqat na uthne ki shah-e zeejaah me rahi

baqsha pisar ko aap ne roz-e yadullahi


sadma ajab tha jaafar-e saadiq ki jaan par

jaari wasiyate huwi jis dam zabaan par


rone lagaa pisar jo suna ye kalaam -e yaas

shah ne kaha quda ho nigahbaan na ho udaas

rakha huwa hai jo mere ahraam ka libaas

dena kafan usi se mujhe mera haq shinaas


nahlaana apne haath se aye mahjabee'n hame

padhkar namaaz qabr me rakhna tumhi hame


aawaaz deraha hai jigar gousha-e hussain

aaja ke aaj quld me hai mera noor-e ain

ye kahte kahte chup huwe sultaan-e mashraqain

laqte jigar ne aah ki aaya na dil ka chain


dekha ke haal ghair hai shaah-e anaam ka

qibla ki simth kardiya chehra imaam ka


tha jinke saamne ruq-e farzand-e mahlaqaa

aankhe'n wo band hogayi andher hogaya

jo dil rubaa se kah rahe the dil ka mud'duaa

qaamoosh wo zabaa'n aye waa musibataa


kya kya tha karb jis me basar teen din huwe

bejaan chouthe roz shah-e ins-o jinn huwe