chehlum jo karbala me bahattar ka ho chuka
paiwand bekaso'n ke tan-o- sar ka ho chuka aur faateha hussain ke lashkar ka ho chuka
qabro'n pa shor aale- payambar ka ho chuka
maatam me teen roz rahe shor-o- shain se
roye lipat lipat ke mazaaree hussain se
misle charaagh gor-e- gharibaa'n pa dil jalaaye
phoolo'n ke badle qabro'n pe laqt-e- jigar chadhaaye
pyaaro'n ki bud-o- baash ke saamaa'n jo yaad aaye
be saaqta pukaare kaleje pakad ke haaye
hai hai wo parda daar hamaare kidhar gaye
be parda hoke aale nabi dar badar gaye
maqtal ke aas paas ye bewo'n ki thi fughaa'n
zainab jabee'n lahad pa dhare karti thi bayaa'n
aye mere karbalaai baradar hussain jaa'n
hamsheer teen din se tumhaari hai mehmaa'n
allah meri baat bhi poochi na aap ne
zindaa'n ki waaredaat bhi poochi na aap ne
raazi hu jo razaa-e- imaam-e- jaleel hai par qaabil-e- mulaaheza baazu ka neel hai
ne koi daad rasan na koi kafeel hai
bhaai baghair aap ke zainab zaleel hai
pusht-o- panaah uth gaya be qaanumaa'n huwi
dekho ye pusht qaabil-e- noke sinaa'n huwi
marjaaye sab yatimou'n ke sar par rahu to mai
bachpan me unki qaid ki eezaa sahu to mai
behlaane ko tumhaari kahaani kahu to mai
maa hu to mai phupi hu to mai baap hu to mai
inka bhi daagh aaj mile ya ke kal mile
aise nahi naseeb ke qidmat ka phal mile
mai jaanti thi shehr basa hoga bhaai ka
hoga hujoom qabr pa saari qudaayi ka
chahlum karungi dhoom se mai karbalaayi ka
pursaa'n bhi yaa koi nahi zehra ki jaayi ka
mu dhaanpne ko aap hi palla bhi leti hu
aur apne dil ko aap hi pursa bhi deti hu
chehlum to kar chuki mai dilafgaar yaa hussain
ab rouza kis tarha se ho tayyar yaa hussain
beta bhi aur behen bhi hai naadar yaa hussain
aaqir kabhi tho aayenge zawwar yaa hussain
takya hai kaar saziye parwardigaar par
is dam to saaebaa'n bhi nahi hai mazaar par
hone laga sawaar rasaala basheer ka
danka bajaa haram ke waidaa-e- aqeer ka
qaima uthaa lahed se shah-e- mashraqain ka aur sab tabarrukaat janab-e- ameer ka
turbat ke gird oont barabar khade huwe
ruqsat ko jamma qabr pa chote bade huwe
zainab pukaari kooch ka saamaan hogaya phir shehr mere bhaai ka veeraan hogaya aur maqberaa hussain ka sunsaan hogaya
hoo ka maqaam qatl ka maidaan hogaya
aayi musaafirou ko mere wo zamee'n pasand
dunya me jis zameen ko basti nahi pasand
aye karbalaa-e- sarwar-e- dilgeer alweda
aye qatlgaah-e- hazrat-e- shabbir alweda
aye qabr-e- ibn-e- saaheb-e- tat'heer alweda
aye bhaai jaan jaati hai hamsheer alweda
kya be naseeb hai ye nawaasi rasool ki
tum ne mujaaweri na hamaari qubool ki
bhaiyya utho kajaawe me mujh ko tum hi bithaao
bhaiyya mai be naqaab hu rehgiro'n ko hataao
roke'n qanat akbar-o- abbas ko bulaao
qaali hai god bhaabi ki asghar ko lete aao
sardaar saare qaafele ke aage hote hai
tayyar kaarwaa'n huwa aur aap sote hai
kab se tumhe pukaar rahi hu mai qasta tan
hai hai jawaab bhi nahi dete shah-e- zaman
bhaiyya gale lagaalo to jaau sue watan
aayi nida sidhaaro quda haafiz aye bahan
sughra ko meri simth se bhi pyaar kijiyo
hoga sawaab qaatir-e- beemaar kijiyo