darbaar me jab kat ke yatimo'n ke sar aaye
doobe huwe do chand lahu me nazar aaye
ghul padgaya muslim ke ye laqte jigar aaye
ghurbat zada-o- be watan-o- be pidar aaye
shamsheer-e- sitam chal gayi in nouhagaro'n par
kya bekasi-o- yaas barasti hai saro'n par
haakim se ye tab kehne laga haaris -e- bad kaam
sar bachhou ke laaya hu mile qillat -o- inaam
pahchaan le muslim ke pisar hai yahi gulfaam
ye wo hai jo zindaan se bhaage the sar-e- shaam
mai dhoondta phirta tha na haath aate the dono
paate the jidhar raah nikal jaate the dono
haakim ne kaha tune kaha'n phir inhe paaya
taarikiye shab me nazar aata nahi saaya
wo jod ke haathou ko suqan lab pa ye laaya
zouja ne meri tha unhe hujre me chupaya
mai kehta tha dil me ke kaha'n jaake chupe hai
iski na khabar thi mere ghar aake chupe hai
az bas ke thaka tha, mujhe neend aagayi usdam
kya dekhta hu aalam-e-rooya me basad gham
ek hujre me do tifl nazar aate hai baaham
sar peet ke kehte hai wo baa dida e purnam
aafat me phanse ham dar-e- zindaa'n se nikal ke
maloom huwa padgaye phande me ajal ke
chillaye jo wo haaye pidar kehke dilafgaar
tha neend me ya aankh meri khul gayi ekbaar
khush hogaya mai taala-e- qafta huwe bedaar
bistar se utha haath me khainche huwe talwaar
ek hujre me muslim ke wo pyare nazar aaye
baalaa e zami'n arsh ke taare nazar aae
jakda jo unhe mai ne to karte the ye faryaad
mehmaa'n tere ghar aaye hai ham bekas-o- nashaad
bin baap ke hai ham pa taras kha sitaam eijaad
le minnate'n karte hai teri chod de jallad
kar rahem ke masoom hai dukh paaye hai zaalim
ham chupne ko daaman me tere aaye hai zaalim
mai ne kaha tum dono ke baba ka hai kya naam
ro kar kaha kehte hai unhe muslim-e- nakaam
be jurm-o- qataa unke gale par chali samsaam
ham jab se chute baap se ham ko nahi aaram
dehshat se teri seene me dil hilte hai zaalim
ab dheeli rasan kar ke gale chilte hai zaalim
ye sunte hi masoomo'n pa ghussa mujhe aaya
hujre se unhe khainchte dailaan me laaya
un dono ne jo zulm na dekha tha dikhaya
mujrim ki tarha baandh diya reham na khaya
baahar unhe le aaya jo zulfo'n ko pakad kar
istaada kiya chob se rassi me jakad kar
samjha na wo hargis na mera dhyaan me laayi
junjhla ke use teghe sitam mai ne lagaayi
ek waar me sa-aa se giri kat ke kalaayi
chilla ke lagi dene payambar ki duhaayi
hae hae mere aaqa meri imdad ko pahoncho
aye shah-e- gharibaa'n meri faryaad ko pahoncho
jab maar chuka usko to masoomo'n ko khaincha
pakde huwe zulfe'n unhe laaya labe darya
rokar kaha bachho'n ne hame qatl na karna
maarega jo hamko tere kya haath lagega
bekas hai musafir hai aur aawaraa watan hai
ye kya hai saza kam ke giraftaare mehan hai
kar rahem sitamgaar gharibi pa hamaari
dewega sila iska tujhe qaaleq-e- baari
le aankh na dikhla inhe ab karne ke zaari
chal kar sar-e- baazar hame bechle naari
bach jaayenge ham qillat-o- zar paayega zalim
gar qatl kiya hamko to pachtayega zalim
ye sunke badha mai ju hi khainche huwe talwar
pahlu me baradar ke baradar gira ek baar
mai chaati pa ek tifl ki aaqir huwa sawaar
jab halq pa bacche ke rakha qanjar -e- qoo'nqaar
ek hashr bapaa hogaya qanjar ke chale par
bhai ne gala rakh diya bhai ke gale par