farzando'n ko phir fatima zehra ne bulaya
Godi me bithaaya kabhi seene se lagaya
balaae jabee'n bose diye aur ye sunaya
lo pyaro ke hangaam judaayi ka ab aaya
ab tum se juda hoti batool-e uzra hai
ye aaqri zehra ne tumhe pyaar kiya hai
hyder se kaha inko na pahonche koi eeza
ye hai mere pyare kabhi inko na ghuraknaa
aur aap se ek arz ye ab karti hai zehra
padhiyo mere laashe pa namaz, aye mere moula
furqat me na in dono ko tadpaiyo saaheb
bachho'n ko meri qabr pa tum laaiyo saaheb
nazuk hai mizaaj inka ye maalum hai moula
har baat me be saaqta ro deta hai chota
hai qouf ulat jaaye na seene me kaleja
tum usko mere laashe pa bhi rone na dena
sab godh me le martaba quraa'n ka samajh kar
ghur-ke na koi ab ise bin maa ka samajh kar
ye kahke kiya band dare hujra e at'har
sab qurd-o-kalaa’n aan ke rone lage baahar
aawaz suni kalma e tayyab ki baraabar
phir kuch na sada aayi kaha sab ne ye rokar
rehlat huwi bas aaj rasool-e arabi ki
lo uth gayi dunya se nashaani bhi nabi ki
al qissa wo din matam-e zehra me jo guzra
shab aayi khule gesuo'n se dene ko pursa
hyder ne kiya ghusl ka samaan mohayya
masooma ke ek haath me jo zaqm laga tha
wo daste batool aah qameeda nazar aaya
ye dekhte hi mu ko ali ke jigar aaya
nehla ke jo kafnaane lage mayyat-e zehra
zainab ne kaha hatho'n se sar peet ke apna
amma ka mere haath to seedha karo baba
wo roke pukare ye qameeda hi rahega
taboot me phir mayyat-e zahra ko lita kar
sabse kaha lo bibiyo ruqsat karo aakar
kehte the ali fatima ke laashe se ye baat
bas fatima bas ho chuki betou'n se mulaqaat
farzandou ki gardan se juda kijiye ab haat
ruqsat bhi ho ab zindo'n ka aur laashe ka kya saath
chalne me musafir ke ye deri nahi hoti
mayyat se sada aayi ke seri nahi hoti
saheb mere bachho'n ko chudhaao na qudaraa
qaatir se meri der karo aur gawaaraa
hoyega meri rooh pa ehsaan tumhara
bachho'n se ziyada mujhe koi nahi pyara
masoomou se dam bhar me bichad jaayegi zehra phir kaahe ko yu seene se liptayegi zehra