gurbat me kisne ki hai rifaaqat hussain ki
sab se siwa hai kisko mohabbat hussain ki
kiski nazar me farz hai taa'at hussain ki
takmeel kisse paayi shahadat hussain ki
hai koun yaadgaare ali o batool ki
wo koun zi sharaf hai nawaasi rasool ki
zehra ke baad koun hai maqdooma e jahaa'n
baba hai kiska shere khuda faqre mursalaa'n
duniya me kiske sabr ke qaayel hai inso jaa'n
chaadar hai kiski kashtiye ummat ka baarbaa'n
maryam se kiska martaba aala hai qalq mein
mashoor koun saniye zehra hai qalq mein
nana ko royi baap ko royi wo zi weqaar
maatam kiya batool ka bachashme ashk baar
mohsin ki laash dekhke dil hogaya figaar
barso rahi musibate shabbar me sogwaar
bachpan se shugl isko raha shoro shain ka
aaqir ko dekha zebe sina sar hussain ka
pursa ajeeb zainab e nashaad ko mila
shabbir qatl hote hi qaima jala diya
sar se utaari shimr ne masumou'n ki rida
baazu har ek bibi ka rassi me bandh gaya
balwe me laaye binte shahe mashraqain ko
dil bhar ke rone paayi na zainab hussain ko
baba ko roye bacche to zainab unhe manaaye
samjha ke apni god me shab ko unhe sulaaye
seli kisi yateem ko aakar koi lagaaye
ye dekhkar qamoosh ho shikwa na lab pa laaye
bhai ke sar ke saath rahi izdehaam mein
sar nange jaaye kucha o bazaare shaam mein
zindaa'n se chut ke aayi jo zainab suye watan
roti thi jaake nana ke rouze pa qastatan
gah fatima ki qabr pa karti thi ye suqan
barbaad karbala me hua aapka chaman
shikwa na qaid ka tha na bazaare shaam ka
tha zikr bas hussain alaihis salaam ka
kuch din rahi watan me jo zehra ki yaadgaar par thi bohat hussain se milne ko beqaraar
tha dushman e imaam yazeed e sitam shiyaar
abid hue jo qaid dobaara bahaal e zaar
mumkin na tha ke muh rahe ulfat me mod ke
zainab rahe watan me bhateeje ko chord ke
pohanchi qareebe shaam ke jis dam wo khush nihaad
aane lagi zyaada shahe be kafan ki yaad
ek raat aayi jisme ke dil ki mili muraad
mujdah ajal ka qaab tha sunkar thi shaad shaad
thi garche iske dil me khushi inteqaal ki par fikr thi to abide bar gushta haal ki
guzri wo raat subhe shahadat hui ayaa'n
jis baagh me hua tha farokash wo kaarwaa'n
dushman nabi ki aal ka tha uska baaghbaa'n
zere shajar jo roti thi shah ko wo neemjaa'n
aisa sitam kiya ke na phir shah ko ro saki
yu'n belche se maara ke jaabar na ho saki