hai qasd kuch fazael-e baquar raqam karoo'n
tahreer mojizaate imam-e umam karoo'n
likhne me misle qaama-e sar ajz qam karoo'n
loho qalam ko gheerate loho qalam karoo'n
anwaare mojizaat se raushan kitaab ho
khaama shuaa ho toh waraq e aaftaab ho
ek din pidar ki godh me tha woh falak maqaam
ek shia laya nazre dirham paye imaam
sajjad ke huzoor woh dirham rakhe tamaam
dirham se khelne lagaa farzand-e nekh naam
kya aql di thi khaaliq-e roz-e hisaab ne
dirham zamee'n pe phaink diya us janaab ne
tab doudh kar mohib ne wo dirham utha liya aur us ko darmiyaan-e dirham phir milaa diya
baquar ne chunke phir wahi dirham judaa kiya
tifli me thi ye aap pe taaeed-e kibriyaa
likha hai teen baar yehi maajra huva
us dam mohib ko sheh ke tahayyur bada huva
abid se ki ye shia-e abid ne iltejaa
irshaad aap kijiye ye maajra hai kya
sheh ne kaha ye aadat-e tifli na jaan'na
hoga imaam baad hamare ye mehlaqaa
dirham ye ek ghazbi-o maal-e haraam hai kyu'n kar ise qubool kare ye imaam hai
baquar pe woh nisaar hua paau choom choom
tifli se sheh ke ilm-e khuda daad ki thi dhoom
baquar ki sharah karte hai ye khaas aur umoom
yaani hai woh imam shigafindah-e uloom
tha koi raaz-e ghaib na sheh se chupaa hua
uqdaa woh kaun tha jo na hazrat se waa hua
likhta hu ab shahadat-e maula-e khoosh nihaad
tha bas ke zaid ibn-e hassan ko hasad ziyaad
rakhta tha bughz aap se wo baani -e fasaad
karta tha majliso'n me hiqaarat se sheh ko yaad
tha munharif woh baquar-e aali muqaam se
karta tha id'duae imamat imaam se
sougand khaa ke zaid ne is waqt ye kahaa
daawaa na ab karoonga imamat ka mutleqaa phir sooe mulk e shaam wo mal'oo'n rawaa'n hua
abdul malik se jaake kahaa sab ye maajraa
aakhir ko ye kaha ke hamaare gumaan me
baquar sa ab nahi'n koyi saare jahaan me
abdul malik ko bughz-o khusumat hui ziyaad
kya kya na usne shahe umam se kiye fisaad
akhir imam ko ye likhaa az rahe anaad
mai bhejtaa hoon zaid ko aye shahe khush nihaad
ibne hassan ko laayeq-e takreem kijiye
taadeeb kijiye use taaleem kijiye
aur ek zeen taabiye jis me kiya tha sam
hum raahe zaid bhejaa baraaye shahe umam
aaya jo zaid rubaru-e shaahe ba karam
shah bole hai jo qasd tera jaante hai hum
aye ibne amm ye zulmo sitam tu ne kya kiya
is zeen me hai taabiye zehr-e dagha kiya
is zeen par mai hota hu daanista ab sawaar
bande ko kya mashiyat-e eezad me eqtiyaar
baandha wo zeen asp pe allah re inkesaar aur zeb-e raahwaar hua shaahe ba weqaar
maut apni pasand ki raza-e ilaah me
us zaher ne nafooz kiya jism-e shah me
sheh ne muraaje-at ki sawaari se aah jab
bas aashkaar hogaye aasaar-e maut sab
farmaaya teen roz ke hum mehmaa'n hai ab
jaffar ko laao aur kafan bhi karo talab
talib kafan ke badle hai is pairahan ke hum
kaabe ka tawaaf karte the jis ko pahen ke hum
laaye wo jaama hazrat-e sadiq bachashm-e tarr
hazrat ne pyaar karke kahaa unko aye pisar
jaata hoo'n mai jahaa'n se tu hotaa hai bepidar
duniya se aaj kartaa hoo'n uqbaa ka mai safar
pyare pidar ke marne ka tum gham na khaaiyo
mazloomi-e hussain pe aansoo bhaaiyo