Jaffer Asws. Yateem Hogaye Baqir Asws. Guzar Gaye.
bewaou'n Aur Yateemo'n Ko Be Aas Kar Gaye.
1. Karbobala Mein Aapki Aankho Ke Saamne.
moula Sabhi Quraan Ke Paare Bikhar Gaye.
2. Kaanto'n Pe Nange Paoun Chalate Rahe Adoo L.a.
moula Is Haal Mein Kayi'n Meelo'n Guzar Gaye.
3. Hazrat Ko Zeher Zeen Mein Hushhaam L.a. Ne Diya.
jiske Asar Se Paanchve Sarkar Margaye.
4. Baandha Tha Ek Rassi Mein Bete Ko Baap Ko.
baqir Asws. Bhi Saath Saath The Abid Asws. Jidhar Gaye.
5. Taboot Uth Raha Hai Jo Hyder Asws. Ke Laal Ka.
zehra S.a. Ne Kaha Ghar Mera Veeran Kar Gaye.
6. Dafnaya Baap Bete Ne Binte Hussain Asws. Ko.
manzar Wo Bhool Paaye Na Moula Guzar Gaye.
7. Hargiz Kabhi Na Kam Ho Azadari E Hussain Asws.
moula Yeh Baat Bete Ko Talqeen Kar Gaye.
8. Mirza Kumail Aapke Gham Mein Hain Sogwaar.
kitne Masayeb Aap Pe Moula Guzar Gaye.