kehte hai sab ro ro ke yahi wawaila, maare gaye mazloom taqi wawaila
uthgaya saaya baap ka sar se peet'te hai sar apna naqi wawaila
qabr me hai bechain raza wawaila, karte hai baqar aaho buka wawaila
chaak garebaa'n qaak basar hai quld me hyder binte nabi wawaila
shia pachaade khate hai wawaila, peet ke sar chillate hai wawaila
zehre sitam se haye ghazab aaqa ki hamare jaan gayi wawaila
sarware zeesha'n ko maara wawaila, deen ke sultaa'n ko maara wawaila
qoufe qayamat dil me na laaya tha wo laee'n kis darja shaqi wawaila