kehte the aale aba margaye zainab ke laal
haaye ye kya ho gaya margaye zainab ke laal
teero sina khaake haaye gir pade aur sar kataaye
laash koi laash koi jaake laaye, mar gaye zainab ke laal
maamu pa qurbaa'n hue pyaas se be jaa'n hue
zaqmo se hairaa'n hue, mar gaye zainab ke laal
lete hai wo sar kataaye, aur lahu me nahaaye
kya hua ye haaye haaye, mar gaye zainab ke laal
sheh pa fida ho gaye, haq se ada ho gaye
maa se juda ho gaye, mar gaye zainab ke laal
kehte the abbas haaye, bhaanjo ne bhi sar kataaye
rokne bhi hum na paaye, mar gaye zainab ke laal
qoul ye akbar ka tha kya hua ae kibriya
haaye mai jeeta raha, mar gaye zainab ke laal