Pehlu me jo Tum hote toSoti thi suku'n se
Neend aayegi ab kaise bhala Aun o Mohd
Sonchi thi jawa'n honge Meri aankhon ke taro
Tifli me huwe Mujh se juda Aun o Mohd
Kya rooth ke Maadar se khafa hogaye pyaaron
Hojaay ye Maa Tum pa fida Aun o Mohd
Ghar Merahamesha ke liye kar Gaye barbaad
Aabaad huwi Karbobala Aun o Mohd
Do chaand Mere chhup gaye badlime sitam ki
Sara jaha'n andhera hua Aun o Mohd
Ab Tum jo nahi'n ghar mujhe achha nahi'n lagta
Yaad aati hai har ek ada Aun o Mohd
Tanhai me ghut ghut ke sada Ghamme Tumhare
Karti hu'nme raaton ko buka Aun o Mohd
Tum sahib e aulaad jo hote to samajhte
Kis dil se di marne ki riza Aun o Mohd
Reh reh ke khayal aata hai Tum Dono se pehle
Kyun aayi nahi'nMujh ko qaza Aun o Mohd
Baalo'n se chhupaati rahi chehre ko MainApne
Chheeni gayi jab Meri rida Aun o Mohd
Uftaad Sohail aisi thi ek Gham zada Maa par
Thi dil ke dhadakne ki sada Aun o Mohd