Kya Aale Mohammed Par Afath ki Ghata Chayi
Sab Qatl Howay Pyase Baqi Na Rahe Koe
Hai Abid-EMuztar par ab Alamay Tanhai
Saidaniya Baithi Hai Jati Huwi Rayti Par
Abbas Ke Lashay Par Zainab Ne Kaha Rokar
Sootay Ho Lab-e-Dariya Tum Chayn se Aye Bhaiya
Dekho Toh Zara Uthkar Ye Zulm Laaenoun ka
Seh Seh kay Jafaoun Ko Dil Khoon Huwa Mera
Ab Aun-o-Mohammad hai Qasim Na Ali Akbar
Abbas Ke Lashay Par Zainab Ne Kaha Rokar
Phirta Hai Nigahoun mai Ab Dard ka Woh Manzar
Girna woh Shahadeen ka Lashay Ali Akbar Par
Woh Jaan-o-Dile Laila Hum Surate Paigambar
Hai Khoon May Tar Apnay Ab LAshay Ali Akbar
Abbas Ke Lashay Par Zainab Ne Kaha Rokar
Ro-Ro Kay Sakina Ka Dayna wo Sada Tumko
Pani Nahi Mangongi Ajao Chacha Ab Toh
Zalim kay Tamachoun se kiya Haal Huva Dekho
Ab Apni Bhatiji ko Samjhoun Tum hi aakar
Abbas Ke Lashay Par Zainab Ne Kaha Rokar
Aulad-e-Payambar Par kya kya na Sitam Tutay
Bay aas Huwe Hain Sab Bhaiyya Tere Marne Say
Ye bey Saro Samani yeh Jalte Huwe Qaimay
Masoom Sakina kay Kano Say Chinay Gouhar
Abbas Ke Lashay Par Zainab Ne Kaha Rokar
Maqtal ki Fazaa Mai Tha Kohram Sohail uss Dam
Kehti Thi Joh Ro-Ro kar ya Binte Ali Paihum
Kya Kehkay Mai Ab Roun Mai kiska karun Matam
Zainab ka Bay'an sunkar Barpa tha Ajeeb Mehshar
Abbas Ke Lashay Par Zainab Ne Kaha Rokar