abbas ke laashe pe baya'n karte the sarwar
shabbir ka ab koi nahi monis o yawar
poochhe jo sakina mere ammu ko huwa kya
kaise kahu'n ke so gaye baazu ko kata kar
kya qalb pe zainab ke guzar jayegi bhayya
jab khoon me tar mashk o alam dekhegi khwahar
akber hai na qasim hai na ab aun o mohd
shabbir pe jaa'n apni fida kar gaye asgher
maotal me jo tanha mujhe dekhegi wo dukhiya
abbas tumhe degi sada zainb e muztar
ab khole huwe baal nazar aayegi amma
naize pe nazar aayega bhai ka mere sar
zehra ki duwa parcham e saqqa-e-haram hai
matam isi parcham tale ab hoga baradar
sahil pe tadap jayega abbas ka laasha
zainab jo kahegi mere bhayya meri chadar