abbas ke matamdaar hai'n ham
deti hai dua zehra ham ko
saqqa-e-haram ke ghamkhwaro
saqqe ka matam karte raho
pehchaan hamari matam hai
jab tak bhi seeno'n mai dam hai
is matam se duniya bhar mai
paighaam-e-hussaini phonchado
zainab ne kaha ye betou'nn se
kal jaan luta dena hai tumhe
khaiber ki ohad ki khandaq ki phir yaad dilaado shehzaado
kehte the sakina se abbas
bhujh jayegi bibi sabki pyaas
mai dariya utha leaaunga
baba se ijazat dilwaado
sajjad ki halat kya hogi
kaanto'n pa chala aur aah na ki
bimaar ke zakhmi talwou'n par
qurbaan zamane ko kardo
ayyam hai sheh ki ruqsat ke
barsao lahu ab aankho'n se
ji bhar ke karo matam sheh ka
zehra ko vidayi pursa do