Kanz e Aza

Abbas ki Wafa Ko

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

abbas ki wafa ko shabbir ka salam

zahra ki shahzadi hamsheer ka salam


bachon ke dil ki dhadkan shabbir ka qaraar

tishna labon ka saqqa qaimon ka pehredaar

uske liye hai zainabe dilgeer ka salaam

abbas ki wafa ko...


darya pe karke qabza jo tashnalab raha

chullu mein leke pani pani nahi piya

abbas tujhko sabr ki jageer ka salam

abbas ki wafa ko...


abbas ka alam tha ke zainab ki rida thi

ghazi tere parcham ki hawa mein bhi wafa thi

hyder ki tamanna'on ka markaz tera paikar

humraah tere fatema zahra ki dua


abbbas ke alam ki dunya mein roshni

phaili to milgayi hai wafaon ko zindagi

bazme ghame hussain ki tanveer ka salam

abbas ki wafa ko...


jo aankh tere rouze ke hai khaab dekhti

us khaab mein hai roohe aqeedat chupi huvi

pakeezgi ye khaab ko tabeer ka salam

abbas ki wafa ko...


jiske lahoo se parcham e islam hai dhula

pehchaan us dilayr ki mashkeeza hogaya

ghazi ko mere waaris e tatheer ka salam

abbas ki wafa ko...


shane qalam kara diye pani jo choo liya

qaime mein us dilayr ka laasha nahi gaya

sharminda tha sakina se hyder ka laadla

abbas tujhko royegi ta hashr karbala


baazu kata ke jisne rakhli wafa ki laaj

karti hai jisko sajda uski wafaein aaj

us ba-wafa ko maadare shabbir ka salam

abbas ki wafa ko...


asghar bhi tashnalab tha to ghazi bhi tashnalab

be-jurm qatl ye huwa aur wo bhi be-sabab

us faatahe faraat ko baysheer ka salam

abbas ki wafa ko...


rehaan mai ghulam hoo hyder ke sher ka

mere qalam ko soz hai abbas ne diya

nauhon mein dhal gaya meri tehreer ka salam

abbas ki wafa ko...