Kanz e Aza

Abbas Ko Pukaro

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ghazi to hai na un se hi kehna

ay dunya waalon dar dar na jao

kya gham hai tumko aa kar sunao


kehta hai alam hum se

meinoos na ho gham se

abbas ko pukaro


ya hazrate abbas mere gham ki dawa

mera bhi koi hai ye zamane ko bata do

babul hawaij alamdar alamadar


dunya se nahi maango kay degi tumhe dunya

allah ne rakha hai ummeed ka ek rasta

dehleez se ghazi ki ho jao wo wabasta

do waasta zainab ka phir kaam bane sab ka

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


dil toota hua ho to apno ko bulaata hai

dukh apne to har koi apno se hi kehta hai

bpno ki pareshani apna hi samajhta hai

wo sab ka sahara hai apno se bhi pyara hai

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


ek pyasi bhatiji ki ammu se guzarish hai

hum sab ki duaon mein ye mashk sifarish hai

samjho ko ata'on ki din raat jo baarish hai

radh hogi dua kaise ammu hai sakina ke

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


moo mod liya sab ne kya chod diya sab ne

halaat se tang aake dil chota nahi karte

abbas ki soorat mein ek aas to baakhi hai

har gham se nikalega seene se lagalega

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


jo dil pe guzarti hai har baat bataani hai

bemaari pareshani sab inko sunaani hai

maine to har ek mannat abbas se maani hai

meinoos na jaaoge jo maanga wo paaoge

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


toofan e hawa jis se ghabrana nahi logon

aghiyaar ki chaukat pe tum jaana nahi logon

tum ne mere ghazi ko pehchana nahi logon

kar dega meherbani jaisi ho pareshani

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


har dil ki muradon ko sunta hai mera ghazi

jo maango aqeede se deta hai mera ghazi

saath apne muhibbon ke rehta hai mera ghazi

taqdeer ki ho pasti aajaye jo tang dasti

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


maslak hai wafadari fitrat mein jalaali hai

ye apni sakhawat mein dunya mein misaali hai

kab haath faqeeron ki is sher ne taali hai

lab hilne nahi paaye aur jholiyan bhar jaaye

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...


farhan aqeeda ye maa baap se paaya hai

abbas ki chaukat pe sar sab ne jhukaya hai

likh likh ke zamane ko mazhar ne bataya hai

aa jaye koi mushkil gharbaye bahot jab dil

abbas ko pukaro

babul hawaij alamdar alamadar

kehta hai alam hum se...