qaime mein aaye maqtal e ghazi se jab hussain
khaali alam uthaye thay aur thay zaban pe bayn
zainab ne jab ye poocha wo hyder ka noor e ain
aaya na ghar ko laut ke kyun mere dil ka chain
rote hue hussain ne zainab se ye kaha
abbas mar gaya
hamsheer ab badhado alam apne bhai ka
abbas mar gaya
saansein ukhar rahi thi jawan mere bhai ki
bedast tha jari
meri nazar ke saamne jaan se guzar gaya
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
behta tha khoon aankh mein paywast teer tha
manzar tha dard ka
zainab hamare bhai pe itni hui jafa
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
har khatra aab ka usay pyara tha jaan se
maqtal mein is liye
lagte hi teer mashk pe pani juhin baha
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
boli sakina bachon ke honton pe pyas hai
mujhse hi aas hai
mai unko kis tarha se bataun mera chacha
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
akbar kahan ho baap ko aa kar sambhaal lo
mushkil mein saath do
sarwar ka ab koi bhi sahara nahi raha
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
ab baade asr kaun hai qaimon ka paasban
mehshar ka hai samaa
ghabrayi binte fatema jab shor ye utha
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
sarwar ki baat kaise bhala taal'ta jari
khaahish thi shaah ki
par bhai kehke hogaya khamosh bawafa
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…
izhaar ho ke ghamzada farmate thay hussain
loota gaya hai chain
ab andhiyon ki zad pe hai zainab teri rida
abbas mar gaya
rote hue hussain ne…