Kanz e Aza

Apne Bachon Ko

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

haye akbar haye zainab


apne bachon ko kahan zainab e muztar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi


laal zainab ke sar e karbobala qatl huwe

laaye jab shaah e zaman dono ke laashe ran se

ek bhi pal ke liye unko na maadar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


haath par baap ke baysheer ka jab halq chida

apne asghar pe kiya binte ali ne girya

phir bhi kab banu e bekas ke barabar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


sakht dushwaar tha ye baat ka dil par sehna

nehr se saamne abbas ke qaime hatna

garche is zulm pe bhi zainab e muztar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


maangne aaya jo qaime mein jari ran ki riza

jod ke haathon ko khamosh khada tha saqqa

dekh kar apne baradar ka jhuka sar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


jin ko pani na mila haye re wo khasta jigar

qatra e aab ko tarse huwe un bachon par

dasht mein sher e khuda aap ki dukhtar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


aaj har noore nazar mujhse bichad jayega

soch kar ye hi ke ghar mera ujad jayega

subhe ashoor bohat shaah ki khwahar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


jis se dhaaras thi bohat haye wo saqqa e haram

jis ke mar jaane se pyason ka badha aur bhi gham

us ke parcham se lipat kar bhi to aksar royi

haan magar laasha e akbar pe tadap kar royi

apne bachon ko kahan...


gham tha bas hashr mein izhaar yehi zainab ko

aa gaya yaad jo hamshakle nabi zainab ko

dekh kar nana ko aise sar e mehshar royi

jis tarha laasha e akbar pe tadap kar royi