Apne Pisar Ke Husn Ka Sadqa Utaarlo
akbar Abhi Hai Raah Me Laila Pukaarlo
1. Ran Ki Taraf Jo Jaate Hai Humshakle Mustafa
be Aas Hoke Reh Gaye Ab Shah-e-karbala
ro Ro Ke Keh Rahi Hai Yeh Ab Binte Murtaza
2. Atthara Saal Paala Tha Jis Noujawan Ko
ruqsat Hussain Karte Hai Us Mehmaan Ko
humnaam-e-murtaza Wo Nabi Ke Nashaan Ko
3. Farzand Yeh Tumhara Mere Dil Ka Chain Hai
taskeen-e-qalb Noor-e-nigah-e-hussain Hai
ruqsat Ke Waqt Zainab-e-muztar Ka Bain Hai
4. Run Ko Chala Hai Yeh Jo Hai Humshakl-e-mustafa
abbas Se Jalaal Me Jurrat Me Murtaza
madar Hai Laila Baap Hai Sultan-e-karbala
5. Sonchi Thi Uska Byaah Rachane Ke Waaste
basti Nayi Nayi Mai Basane Ke Waaste
kya Tum Jiyogi Ashk Bahane Ke Waaste
6. Bole Hussain Bete Se Baa'chashme Ashkbaar
beta Hamare Seene Se Lag Jao Aik Baar
tum Jaa Rahe Ho Dil Pa Nahi Mere Eqtiyaar
7. Zainab Ka Dil Ho Dilbar-e-shaahinshah-e-zaman
attharwin Bahar Hai Shadaab Hai Chaman
bint-e-ali Ke Lab Pe Har Ek Baar Hai Suqan
8. Maida'n Ki Simt Jaate Hai Ab Akbar-e-hasee'n
thaame Kaleja Dekhte Hai Unko Shah-e-dee'n
laila Se Roke Kehti Hai Yeh Zainab-e-hazeen
9. Thaame Kamar Ko Fatima Zehra Ka Laal Hai
gham Se Ajeeb Madar-e-muztar Ka Haal Hai
mazhar Phupi Ke Lab Pe Faqat Yeh Meqaal Hai