Kanz e Aza

aye meri behan dukhiya zainab

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

ay meri behan dukhiya zainab

akbar na raha asghar na raha abbas sa bhai qatl hua

ab tere hawale hai kunba


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


wo zakhmi kaleja akbar ka hulqoon chida wo asghar ka

har lamha tujhe yaad aayega


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


farwa ko sahara dena hai kubra ko dilasa dena hai

har gaam ek maqtal hoga


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


kat jayega ab mera bhi gala hoga laasha pamaal mera

naize ki ani par sar hoga


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


chin jayegi tere sar se rida jal jayega bistar abid ka

tu hogi rasan basta behna


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


bemaar pisar sajjad mera zanjeer may jakda jayega aur tauq may hoga uska gala


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


mazloom meri pyasi bachi zaalim ke tamache khayegi

rassi may bandhega uska gala


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


gir jayenge unton se bache aur goonjenge unke naale

koi na sunega unki sada


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


sab zakhm liye jaana hai watan allah tera haafiz hai behan

ab jaata hai ran ko bhai tera


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...


bechain thi zainab sunke rasheed ho jayega pyasa bhai shaheed

tha sheh ke labon par ye noha


hai sabr tujhe karna zainab

ay meri behan...