Kanz e Aza

barchiyo me dil ka tukda reh gaya

A noha for Ali Akbar (a.s), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

barchiyo me dil ka tukda reh gaya

sheh ki ankhou me andhera reh gaya

aye falak sehne sitam ke waaste

kya nabi zaadou ka kunba reh gaya


noke naiza par sare akbar ke sath

umme laila ka kaleja reh gaya

ab na wo akbar hai na husno shabaab

ha magar duniya me charcha reh gaya


odhti kyukar rida binte ali

be kafan bhai ka laasha reh gaya

isko kehte hai wafa ehle wafa

bhar ke saqqa mashk pyasa reh gaya


jalgaye qaime ridaye chin gayi

qaana e zehra me ab kya reh gaya

jhaad ke daaman shahedee'n uthgaye

bezabaa'n marqad me tanha reh gaya