Darbar Me Sajjad Pe Mushkil Yeh Padi Hai
har Simt Tamashayi Hai Aur Binte Ali Hai
1. Gardan Me Rasan Bandh Gayi Aur Jal Gaya Kurta
is Tarha Sakina Ko Mila Baap Ka Pursa
shiddat Ki Kadi Dhoop Me Nazou'n Ki Pali Hai
2. Be Parda Rasan Basta Jo 0ontou'n Pe Haram Hai
zanjeerou'n Me Jakde Huve Abid Ke Qadam Hai
manzar Yeh Mashiyyat Ki Nazar Dekh Rahi Hai
3. Namoos Ki Tash-heer Pe Jaa'n Khote Hain Abid
yasrab Ki Taraf Dekh Ke Khoo'n Rote Hain Abid
kehta Hai Koi Jab Ke Yehi Aale Nabi Hai
4. Abid Ko Sar-e-raah Satate Hain Sitamgar
rukta Hai Jo Beemaar Toh Barsate Hain Pathar
hai Raasta Dushwar Toh Manzil Bhi Kadi Hai
5. Hain Sham-e-ghareeba'n Ke Abhi Zakhm Badan Par
kehti Hai Sakina Ke Nazar Kijay Behen Par
abid Ke Magar Hathou'n Me Zanjeer Padi Hai
6. Ghazi Ko Sada Deta Hai Beemaar Har Ek Gaam
zainab Ka Jo Darbaar Me Leta Hai Koi Naam
sajjad Pe Allah Bohat Sakht Ghadi Hai
7. Sar Naize Se Shabbir Ka Deta Hai Duhayi
ya Shah-e-najaf Aaiye Imdaad Ko Jaldi
bete Pe Mere Dekhiye Uftaad Padi Hai
8. Darbar-e-sitamgar Me Qayamat Huvi Barpa
tha Takht Pe Baitha Woh Layee'n Kaanp Raha Tha
sajjad Ne Darbar Me Angdayi Jo Li Hai
9. Baba Ki Wasiyat Pe Amal Karna Tha Usko
darbaar Ulat Dena Tha Mushkil Nahi Jisko
sajjad Ke Hontou'n Pe Saji Naad-e-ali Hai
10. Sar Neeche Hai Sarwar Ka Toh Kursi Pe Sitamgar
zainab Ki Nigahou'n Me Qayamat Ka Tha Manzar
majboor Behen Bhai Ka Sar Dekh Rahi Hal
11. Likh Paaye Na Hyder Dil-e-sajjad Ka Alam
darbaar Me Karte Hain Bandhe Hathou'n Se Matam
lab Hai Shah-e-mazloom Ka Zalim Ki Chadi Hai