ghazi abbas ke parcham ko uthaate rehna
ham hussaini hai zamane ko batate rehna
hai ye shahzadi e zainab ki tamanna sunlo
apne ghar farshe aza aap bichate rehna
fatima aayi hai rumaal liye majlis me
ashk ankhou se ghame sheh me bahate rehna
waar kar jhule pa asghar ke meri maa behno
apni aulad ko parwaan chadhate rehna
nusrathe hazrate shabbir agar ho karni
apne seenou se lahu apna bahate rehna
waasta dekar sakina ka shahe waala ko
apni soyi hui taqdeer jagate rehna
tazkera kar ke hussain ibne ali ka sahil
jab talak saans hai gham sheh ka bahate rehna