Kanz e Aza

ho paao zaqmou se bhare aisa musafir koun hai

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

ho paao zaqmou se bhare aisa musafir koun hai

rote ho jisko raate aisa musafir koun hai

wada nibhane ke liye dee'n ko bachane ke liye

kaantou pe jo chalta rahe aisa musafir koun hai


har gaam jisko beqata durre lagaye ashqiya

wo shukr ka sajda kare aisa musafir koun hai

tujh ko quda ka wasta aye karbala tu hi bata

ghurbat me jiska ghar luta aisa musafir koun hai


taraj ghar ki yaad me apne pidar ki yaad me

taa zindagi rota rahe aisa musafir koun hai

jo paikare hasaas ho us waqt ka abbas ho

ghairat jise sajda kare aisa musafir koun hai


turbat banaye qaid me mayyat uthaye qaid me

pucho zara tareeq se aisa musafir koun hai

qaidi ki ghurbat dekh kar jiski musibat dekh kar

ayyub bhi nouha padhe aisa musafir koun hai


gardan me ho touqe giraa'n aur paao me ho bediya'n

taa sham wo paidal chale aisa musafir koun hai

aahan pehan ke hath me kunbe ko leke sath me

darbaar me jana pade aisa musafir koun hai