Karbal Ke Maseeha Se Islam Shifa Maange
ta'hashr Zamane Me Jeene Ki Dua Maange
1. Sajjad Sakina Sa Qaidi Na Koi Aaye
mahboos Koi Qaidi Aisa Na Kiya Jaye
zanjeer Dua Maange Zindaa'n Bhi Dua Maange
2. Be Parda Rasan Basta Paband-e-mehan Zainab
majlis Me Shah-e-dee'n Ki Sarwar Ki Behen Zainab
kuch Aah-o-buka Maange Kuch Ashk-e-aza Maange
3. Jis Bachi Ko Nazoou'n Se Shabbir Ne Paala Tha
palkou'n Pe Bithaya Tha Seene Pe Sulaya Tha
zinda'n Me Wohi Bachi Qaaliq Se Qaza Maange
4. Mayyat Hai Padi Jiski Zinda'n Ke Andhere Me
turbat Hai Bani Jiski Zinda'n Ke Andhere Me
us Bachi Ke Baba Se Suraj Bhi Ziya Maange
5. Sajjad Ke Hatho'n Par Lasha Hai Sakina Ka
allah Lahu Me Tar Kurta Hai Sakina Ka
yeh Dekh Ke Zinda'n Bhi Mehshar Ki Fiza Maange
6. Karbal Me Sakina Ka Daaman Jo Jala Ya Rab
ummat Ne Yateema Ko Pursa Yeh Diya Ya Rab
eema'n Usi Daaman Ki Ab Tak Bhi Hawa Maange
7. Sajjad Sakina Ke Abbas Ke Gham Kharo
ab Tum Se Nabi Zaadi Aye Sheh Ke Azadaro
turbat Pe Sakina Ki Matam Ki Sada Maange
8. Padhne Ke Liye Mazhar Zindaan Me Yeh Nouha
ankho'n Se Bahane Ko Tufaan Phir Ashkoun Ka
saber Shah-e-waala Se Zainab Se Riza Maange