karbal tu ne loot liya ghar zehra ka
neher rawan hai aur pyasa ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya ghar zehra ka
aaye tere daaman mein mehman
baagh ujaada kiya hai veeran
na haq yun barbaad kiya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
aaye jari darya ke kinare
mashk chidi baazu bhi kataye
pani ko phir tars gaya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
khoob lade zainab ke dilbar
ran mein gire talwarein kha kar
maut ke saaye mein aaya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
kaisi azan ye di hai akbar
chounk utha dushman ka lashkar
yaad e mohamed mein roya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
ibne hassan ki kaisi shadi
bhooke pyase sab baraati
loot liya zaalim ne bhara ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
ek ek kar ke laashe laaye
sar se paa tak khoon mein nahaye
laashon se tha bhara hua ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
rehm kisi ne na khaaya us par
teer se chida halq e asghar
khaak aur khoon mein doob gaya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
arsh ka taara jalti zameen par
seene pe qatil halq pe khanjar
ek sajde mein loot liya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
sajda e haq se sar na uthaya
sar de kar islam bachaya
hashr talak yaad aayega ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
jao khuda hafiz ay akbar
dekh bhi lo har baar palat kar
mushtaq e deedar khada ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
aab ke aewaz teer e sitamgar
maut ki hichki dast e sheh par
bebas dekh raha tha dilbar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
ye kaisi mehman ki khidmat
teen dino se pyaas ki shiddat
khatra e aab nahi paaya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
godi se aur gehwaron se
bichde hai bache maaon se
karta hai qurban kya kya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
jaan bahattar ne de di hai
deen ki shamma roshan ki hai
hum par ye ehsaan kiya ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...
dard moharram hai ashkon ka
matam ka aur majalison ka
hota hai veeran bhara ghar zehra ka
karbal tu ne loot liya...