zahra ki aa rahi hai sada karbala chalo
abbas peshwa hai mera karbala chalo
dunya ke dard o gham ki dawa karbala mein hai
jannat ki khush gawari fiza karbala mein hai
kya gham ki ab bhi khaake shifa karbala mein hai
ab bhi sitamgaron ki khaza karbala mein hai
awaaz de rahi hai wafa karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
zahra ki hai dua ke azadaar kam na ho
sarwar ka gham ho sab pe zamane ke gham na ho
ya rab jahane faani ka gauhar alam na ho
bekaar raaston pe kisi ke khadam na ho
bas ek hi hai raahe khuda karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
dunya ke zulm o jor batane ke waaste
ghazi ko haal apna sunane ke waaste
zakhme jigar ye sheh ko dikhane ke waaste
karbobala mein noha sunane ke waaste
karne baeed ranj o bala karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
hai rauza e hussain mera maqsade hayaat
uljhan mein din guzarte hai be-chainiyo mein raat
wo dekhle jahan pe kate thay jari ke haath
hum jaaye karbala bhi to maa ki dua ke saath
paane ko dard e dil ki dawa karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
humse milenge aakhri rehbar wahin kahin
hasnain ka suna hai ke ghar hai wahin kahin
rehte hai karbala mein payambar wahin kahin
le jaaye kaash humko muqaddar wahin kahin
subhe masa yehi hai dua karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
shehre najaf hi shahe najaf ka dayaar hai
gulshan shahe zaman ka wahin la zawaal hai
guncho ke lab pe salle ala baar baar hai
gunche wahin pe wahin pe jina ki bahaar hai
leni hai gar jina ki fiza karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
abbas ke alam ko liye dosh par nikal
karbobala hai jaana to paidal najaf se chal
bayyat ko apne paon se tu bhi zara kuchal
sajjad chal rahe thay jahan par sambhal sambhal
zainab ki yaad aaj rida karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...
jab se hui naseeb mubarak ko karbala
aakhein lahoo barasti hai rehan baareha
sarwar ka hai nashayb mein rauza bana hua
zainab bhi haye shaam se karti hai ye sada
tanha hai ab bhi bhai mera karbala chalo
zahra ki aa rahi hai sada...