Kanz e Aza

Karbala Dikha To

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ay mere maula hussain

ay mere aaqa hussain


ay mere maula ay mere aaqa

marne se pehle karbala dikha de


allahum arzukhna shafatal hussain

allahum arzukhna ziaratal hussain


mai mar na jaaun tumse mile bin

ye soch kar mai rota hoo har din

mas kar ke tere rauze se maula

apna kafan sab laate hai lekin

tera kafan mai laaunga mujhko

ay bekafan koi raasta dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...


ghurbat ka aalam sab se chupa kar

karbobala seene mein basa kar

shauk e ziyarat mein jee raha hoo

mai bhi namak se rotiyan kha kar

muflis hoo kaise rauze pe aaun

maula tu koi maujiza dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...


zaair banoo mai uske haram ka

sab par hai saaya jis ke alam ka

tum to kareem e karbobala ho

mai muntazir hoo tere karam ka

ab bhi jahan hai mashk e sakina

mujhko wo rauza e bawafa dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...


us bawafa ka chehra jahan par

zakhmi huwa tha ghode se gir kar

baazu kahin thay paon kahin thay

kis tarha dekha tumne wo manzar

ghazi jahan par bikhra huwa tha

haye wo nehr e alqama dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...


tum ko qasam hai us naujawan ki

jis ke jigar mein tooti sina thi

matam karun mai jaa kar wahan par

akbar ke baba hasrat hai meri

khaynchi jahan par seene se barchi

aankhon ko meri wo jagah dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...


ran mein jahan tum thak kar gire thay

uthna tha mushkil zakhmi thay itne

phir us muqaam e mehdi se chal kar

tum qatl gaah tak aaye thay kaise

kohniyo ke bal chalna hai mujhko

wo raah e sidratul muntaha dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...


yaad aa rahi hai karbobala ki

sunlo sada zeeshan o raza ki

bulwa lo hum ko is arbaeen par

hai ye tamanna ahle aza ki

paidal najaf se aana hai chal ke

jannat ka mujhko tu raasta dikha de

karbala dikha de

allahum marzukhna...