haye haye ali akbar
laasha jawan bete ka hai saame pada
khamosh hai maula
armaan tha jiski shadi ka wo laal mar gaya
khamosh hai maula
allah kitna saabir hai hussain
shaana kabhi hilata hai chehra kabhi thapakta hai
kitna ghareeb baba hai
haste hai barchiyon waale akbar nahi uth'ta
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
zainab na dekh le aakar ye ran mein kaisa manzar hai
bete ka godh mein sar hai
ek haath mein kaleja hai ek haath mein naiza
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
athara saal waale ke chehre pe kuch nishan bhi hai
aur tooti phasliyan bhi hai
bete ka haal dekh ke yaad aati hai zahra
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
tum sabr karna ay baba seene se khaynch kar barchi
akbar ki ye wasiyat thi
seene se khaynch li barchi poora hua waada
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
apne zaeef kaandhe par laashe jawan uthaate hai
uth'te hai baith jaate hai
ghazi ki yaad aati hai uth'ta nahi laasha
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
qaime mein shaah le aaye kadiyal jawan ka laasha
kohraam hogaya barpa
bhai ke zakhmi seene se lipti hai sakina
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
kya bebasi ka aalam tha aaya jo khat madine se
maula jawab kya dete
akbar ke zakhmi seene par rakh kar khate sughra
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...
tha fatema ki beti ka kitna khayal dono ko
zeeshan abidi dekho
zainab sirhane baithi hai khamosh hai laila
khamosh hai maula
laasha jawan bete ka...