koi aisa mujahid to dikhade
galay par teer kha kar muskurade
badi mushkil hai koi baap kaise
jawan bete ko marne ki riza de
koi aisa mujahid…
charaghe zindagi bujhta hai laila
ali akbar ko daaman ki hawa de
koi aisa mujahid…
kaha shabbir ne ay khuwwate dil
jawan laashe ali akbar utha de
koi aisa mujahid…
riza e jang de kar shaah bole
ajal qasim ko ab dulha bana de
koi aisa mujahid…
ali akbar ko hichki lag rahi hai
koi ab to isay pani pilaade
koi aisa mujahid…
bade jallaad hai ye shaam wale
badal sakte nahi inke iraade
koi aisa mujahid…
sare zainab ki chadar chin chuki hai
ghubare khaak uth chehra chupa de
koi aisa mujahid…
lagi hai aag bistar jal raha hai
koi bemaar ka shana hilaade
koi aisa mujahid…
guzar bazaar se hai bekaso ka
koi in shaam walon ko hatade
koi aisa mujahid…
bhare darbar mein jaati hai zainab
zara ay khuwwate dil hausla de
koi aisa mujahid…
sakina se yateemi keh rahi hai
charaghe ashk zindan mein jala de
koi aisa mujahid…
koi kaaton pe paidal chal raha hai
zaheer ab raah mein aankhein bicha de
koi aisa mujahid…