Kanz e Aza

Laash Akbar ki Jo

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Hassan Abbas Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

laash akbar ki jo maqtal se utha laaye hussain

par lahoo seene ka maa se na chupa paaye hussain


yun sajega tera sehra yun lagegi mehndi

ran se kya haaton pe akbar ki racha laaye hussain

laash akbar ki jo...


kaisi ghurbat ki ghadi noore nazar bhi na raha

bekasi roti hai keh keh ke tujhe haye hussain

laash akbar ki jo...


maa phupi roti hai laashe pe ali akbar ke

kaun hai mere siwa unko jo samjhaye hussain

laash akbar ki jo...


haye peeri may jawan laal tadapta dekha

apne yusuf ko kyun is dasht may le aaye hussain

laash akbar ki jo...


laal zainab ne kiye sadqe ali akbar ke

maut akbar ki talay aur na gham khaaye hussain

laash akbar ki jo...


kya kahe qaside sughra se ke akbar na rahe

bekhabar bete ko kya soch ke ghabraye hussain

laash akbar ki jo...


baap zinda rahe beta ho jahan se ruqsat

haif jeene may kahan haye na mar jaye hussain

laash akbar ki jo...


shauq e ziarat may ye jeete hai hassan aur ahasan

rashq kismat jo hamay rauze pe bulwaye hussain

laash akbar ki jo...