Kanz e Aza

Lehra Raha Hai Aaj

A noha written by Zaheer Jaffery. Lyrics in Roman Urdu.

dete hai tere parcham ko hum salaami

ya husasin ya hussain ya hussain


ye matami juloos ye parcham ye taaziye

nisbat hai inko sibte rasoole anaam se

daaman bacha ke in se kidhar aap chal diye

aa kar zara hussain ki majlis mein dekhiye


lehra raha hai aaj bhi parcham hussain ka


laakhon yazeed aaye aur aa kar chale gaye

kuch roz apni shaan dikha kar chale gaye

quran ka mazaakh uda kar chale gaye

tareekh be-sabaat pe cha kar chale gaye

lehra raha hai aaj bhi...


kab tak hasad ki aag mein jalte rahenge aap

kab tak ghame hussain ko biddat kahenge aap

itrat se hat ke jitni namazein padhenge aap

mehshar mein unka bojh uthaate phirenge aap

lehra raha hai aaj bhi...


kyun kar jalay qayaam hussain e ghareeb ke

kis ne lagayi aag zara ye bhi sochiye

nafrat agar hai aap ke dil mein yazeed se

is majlis e hussain mein aa kar dikhaiye

lehra raha hai aaj bhi...


ye matam e hussain tamasha nahi koi

ye majlisein hai waaize irfan o aagahi

phaili hai jab bhi matam e sarwar ki roshni

surat har ek yazeed ki pehchan li gayi

lehra raha hai aaj bhi...


qatl e hussain koi chipane ki baaat hai

ye to khuli fiza mein sunane ki baat hai

bhatke huwon ko raah dikhane ki baat hai

pathar dilon ko khoon rulaane ki baat hai

lehra raha hai aaj bhi...


ek bezaban ke teer laga aap chup rahe

sibte rasool qatl huwe aap chup rahe

jangal mein ghar nabi ka luta aap chup rahe

islam ka alam jo gira aap chup rahe

lehra raha hai aaj bhi...


aale rasool e paak ki tash'heer haye haye

mushkil kusha ke paaon mein zanjeer haye haye

khaak ho gayi rasool ki tasveer haye haye

khud kalmago hai qatil e shabbir haye haye

lehra raha hai aaj bhi...


ye bhi ata hai fatema ke noor e ain ki

daulat hai apne paas abhi aah o bain ki

aayegi jab bhi yaad shahe mashraqain ki

goonjegi ay zaheer sada ya hussain ki

lehra raha hai aaj bhi...