alwida alwida ay behen alwida
tha ye sheh ka kalaam aakhri
lelo zainab salaam aakhri
khatm hai zindagi ka safar
ab to saansein bhi hai muqtasar
jaa rahe hai shahadat ko hum
ab na aayenge hum laut kar
hai ye pyase ki shaam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
asr ka waqt jaane ko hai
teeragi ran mein chaane ko hai
dhalne waala hai suraj behen
shaam e aalam aane ko hai
shaah ka hai dawaam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
aun o akbar ko mai kho chuka
chid chuka bezaban ka gala
ab hai fauje sitam aur mai
aur zakhmi hai seena mera
bar zaban hai kalaam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
sunke ye qaul e sheh pur mahan
sabr darkaar hai khastatan
ab to shohda ke mehwar mein haan
meri maajayi meri behan
bas hamara hai naam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
baad mere tera maareka
kufa aur shaam mein hai saja
sher dil khwahare shaahe deen
tujhko karna hai sar bakhuda
ab hai mera qayaam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
ay sakina alaike salaam
de raha hai sada tishnakaam
phir na paogi lehja mera
sunlo aakar basad ehtemaam
guftugu e imam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
jab ho abid watan waapsi
mere shiyon se kehna yehi
yaad kar le meri pyaas ko
jab piye thanda pani kabhi
dena mera payaam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...
dayam o yazdan sheh ke sukhan
sun ke roye zameen o zaman
baazuon mein rasan jab bandhe
sabr karna ay meri behen
kaam ye tishnakaam aakhri
lelo zainab salaam...
tha ye sheh ka kalaam...