Kanz e Aza

Manzar Pase Manzar

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

manzar pas e manzar


wo hussain ibne ali aur wo shimr ka khanjar

manzar pas e manzar...


tujhko kahan maloom hai shabbir ka rutba

payambar ke bete hai bhala tujhko khabar kya

na waqif e anjaam hai tu dhyaan ye rakhna

jis deh ki hukumat ke liye aaya hai ladne

wo ab teri qismat may hai kab tera muqaddar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


is khaak ki kya tujhko khabar kitni bhali hai

is dasht ke ausaaf may aqwaal e jali hai

firdaus ka tukda to sar e dasht yehi hai

ta hadde nazar aaj yahan hai mere aghyaar

kal honge yahan chaaron taraf zaair e sarwar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


hum binte payambar ke chaheete hai khabardaar

hum hyder e safdar ke dulaare hai khabardaar

hum ahmed e mursal ke nawase hai khabardaar

mukhtar hai hum tum hame majboor na samjho

chaahe to abhi khaak kare shaam ka lashkar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


pehra hai labe nehr atash lab pe hamare

tum ne to taraayi pe bitha rakhe hai pehre

ye aaj ki tasveer hai ekaad ke bete

kal pyason ke isma e girami ke tasadduq

dunya may rawan hoga sabeelon ka samandar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


tu fauj ki kasrat pe na itra pisar e saad

kal khud hi tu ye bolega lo hogaye barbaad

lashkar se sada aayegi imdad ho imdad

us waqt ka manzar na kabhi bhoolegi dunya

aayega paye jang mera jab ali asghar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


allah ne apne hi liye hum ko banaya

ye jaan ke bhi tum ne hame dukh diye kya kya

hum uski hi tauheed tale karte hai sajda

sar tan se juda hoga magar dekh na zaalim

aayegi kate sar se sada allahu akbar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


ye ishq ki meraj hai qurbani e shabbir

faqre yade bezaam hai islam ki taqdeer

maqsad se mere khoob hai waqif mera baysheer

khamoshiyan kyun odh ke nikle hai watan se

manzoor hai hum logon ko taskeen e payambar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


tum logon ne jis dasht ko pur khaar kiya hai

tum logon ne jis dasht ko aazaar diya hai

tum logon ne jis dasht ko laashon se bhara hai

wo dasht azadaron ke phoolon se bharega

kal maqtal e shabbir ka tum dekhna manzar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...


ay dayam o yazdan yehi sheh kehte thay sunle

ye dhoop ye sehra ye baraste huwe sholay

ye gulshan e sehra sipaahe shaam ke qabze

ye aaj ki tasveer hai ye aaj ka manzar

kal chamkega is dasht ka aabaad manzar

manzar pas e manzar...

wo hussain ibne ali...