maqtal hai waqte asr hai tanha hussain hai
zaalim hai beshumar akela hussain hai
ghayre huwe hai fauje sitam char samt se
teeron ka khanjaron ka nishana hussain hai
maqtal hai waqt...
nasir tamaam farze wafa ko nibha chuke
yaadein hai aur bekas o tanha hussain hai
maqtal hai waqt...
akbar ko kho chuka ali asghar ko ro chuka
kis darja dil figaar o shikasta hussain hai
maqtal hai waqt...
ummat ne dushmani e ali mein bhula diya
paighambar e khuda ka nawasa hussain hai
maqtal hai waqt...
kehde koi sakina se daaman ko chod de
ab aakhri safar pa rawana hussain hai
maqtal hai waqt...
zad par hai aabroo e kalaab e khuda hilal
maqtal mein aayaton ka sahara hussain hai
maqtal hai waqt...